Kaisi Yeh Der Lagayi Durge (कैसी यह देर लगाई दुर्गे...)


Kaisi Yeh Der Lagayi Durge, Hai Maat Meri Hai Maat Meri ।
Bhav Sagar Mein Ghira Pada Hoon, Kaam Aadi Grh Mein Ghira Pada Hoon ।
Moh Aadi Jaal Mein Jakda Pada Hoon, Hai Maat Meri He Maat Meri ॥

Na Mujh Mein Bal Hai, Na Mujh Mein Vidya, Na Mujh Ne Bhakti Na Mujh Mein Shakti ।
Sharan Tumhari Gira Pada Hoon, He Maat Meri He Maat Meri ॥

Na Koi Mera Kutumbh Sathi, Na Hi Mera Sharir Sathi ।
Aap Hi Ubharo Pakad Ke Bahen, Hai Maat Meri He Maat Meri ॥

Charan Kamal Ki Nauka Bana Kar, Main Paar Hoonga Khushi Mana Kar ।
Yam Duton Ko Maar Bhaga Kar, Hai Maat Meri He Maat Meri ॥

Sada Hi Tere Gunon Ko Gaoon, Sada Hi Tere Saroop Ko Dhayaoon ।
Nit Prati Tere Gunon Ko Gaoon, Hai Maat Meri He Maat Meri ॥

Na Main Kisi Ka Na Koi Mera, Chhaya Hai Charo Taraph Andhera ।
Pakad Ke Jyoti Dikha Do Rasta, Hai Maat Meri He Maat Meri ॥

Sharan Pade Hain Ham Tumhari, Karo Yah Naiya Paar Hamari ।
Kaisi Yah Deri Lagayi Hai Durge, Hai Maat Meri He Maat Meri ॥
कैसी यह देर लगाई दुर्गे... - हिन्दी में पढ़ें
कैसी यह देर लगाई दुर्गे, हे मात मेरी हे मात मेरी।...
Bhajan Maa Durga BhajanMata Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥

Ram Bhajan - Shri Ramji Padhare

Ramji Padhare, Shree Ramji Padhare, Hey ! Dekho Avadh Nagariya Mein Ramji Padhare