Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahun (कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन)


Kanha Roj Roj Tumko Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ।
Dugdh-Dadhi-Jal-Shahad Se Nahalaya Karoon,
Reshmi Vastra Sundar Pahnaya Karoon ।
Tere Nayanon Mein Kajara Lagata Rahoon, Geet Gata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Kunkum-Kesar Ke Chandan Lagaoon Tujhe,
Pushpmala Main Sundar Pahnaoon Tujhe ।
Pag Mein Paijaniyaan Sundar Pahnata Rahoon Aur Nachata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Pyaar Se Sundar Vyanjan Khilaoon Tujhe,
Dugdh Mein Mishri-Kesar Pilaoon Tujhe ।
Tere Seva Mein Tan-Man Lagata Rahoon, Muskurata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha....

Sath Mein Gaake Lori Sulaoon Tujhe,
Pyara-Sa Geet Ga Ke Jagaoon Tujhe ।
Kant Sapnon Mein Bhi Main Sajata Rahoon Aur Manata Rahoon,
Par Bhajan Mein Kabhi Kuch Kami Ho Nahin ॥ Kanha.....
कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कान्हा रोज रोज तुमको सजाता रहूँ और मनाता रहूँ, पर भजन में कभी कुछ कमी हो नहीं ।
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat Bhajan BhajanShri Vishnu BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanRadha Raman Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Bhor Bhai Din Chad Gaya Meri Ambey

Bhor Bhai Din Chadh Gaya Meri Ambey, Ho Rahi Jai Jai Kar Mandir Vich Aarti Jai Maa ।

Kabhi Fursat Ho To Jagdambe

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe, Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana । Jo Rookha Sookha Diya Hamen

Mujhe Dar Par Bula Le Ek Baar

Chitthi Likhi Hai Mainne, Ansuon Ki Syahi Se, Pahuncha Dena Sandesha Mera, Kisi Rahi Se।

Phool Dei, Chamma Dei Geet

Kya Kya Kamaya Humne, Aao Hisab Kar Le, Duniya Ki Baat Chhode, Apni Kitab Padh Le...