Kanha Teri Murli Ki Jo Dhun Baj Jaaye (कान्हा तेरी मुरली की, जो धुन बज जाए - भजन)


Kanha Teri Murli Ki,
Jo Dhun Baj Jaye,
Gwale Nache Gopiyan,
Nache Sari Toliyan,
Radha Nache Jhoom Jhoom,
Kanha Terin Murli Ki,
Jo Dhun Baj Jaye ॥
Kunj Gali Mein Jaise,
Baaje Basuriya,
Deewani Taise Hui,
Braj Ki Nagariya,
Khinchi Chali Jaye Gopi,
Ban Ke Bawariya,
It Ut Bhaage Besudh,
Saari Gujariya,
Kaisa Jaadugar Tu,
Saanwla Kanhaiya,
Kanha Terin Murli Ki,
Jo Dhun Baj Jaye ॥

Matwali Ho Gai,
Dhun Sun Gaiya,
Bachhdo Ko Chhod Bhagi,
Dekho Saari Gaiya,
Jahaan Hai Kanhaiya,
Wahi Saari Gaiya,
Than Se Doodh,
Bahane Lagi Gaiya,
Yamuna Nadi to Laage,
Doodh Ki Nadiyan,
Kanha Terin Murli Ki,
Jo Dhun Baj Jaye ॥

Mamta Ki Maari Dekho,
Yashomati Maiya,
Dhun Sun Bansi Ki,
Vyakul Hui Maiya,
Makhan Nikale Jhat,
Dahi Mathe Maiya,
Besudh Bole Makhan,
Kha Le Re Kanhaiya,
Kaisi Teri Leela Hai,
Jag Ke Rachaiya,
Kanha Terin Murli Ki,
Jo Dhun Baj Jaye ॥

Kanha Teri Murli Ki,
Jo Dhun Baj Jaye,
Gwale Nache Gopiyan,
Nache Sari Toliyan,
Radha Nache Jhoom Jhoom,
Kanha Terin Murli Ki,
Jo Dhun Baj Jaye ॥
कान्हा तेरी मुरली की, जो धुन बज जाए - भजन - हिन्दी में पढ़ें
कान्हा तेरी मुरली की, जो धुन बज जाए, ग्वाले नाचे गोपियाँ, नाचे सारी टोलियाँ, राधा नाचे झूम झूम, कान्हा तेरीं मुरली की, जो धुन बज जाए ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Lanka Jalayi Karamaat Ho Gayi

Pawan Tanay Sankat Haran, Mangal Murti Roop। Ram Lakhan Sita Sahit,Hriday Basahun Sur Bhoop॥ Prabhu Ram Bhi Rni Hai Hanuman Ji Tumhare। Sab Kaam Ram Ji Ke, Tumne Sada Sanware॥

Aadi Ant Mera Hai Ram

Aadi Ant Mera Hai Ram, Un Bin Aur Sakal Bekaam ॥

Parades Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum

Parades Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum, Kaise Jiyenge Hum Kanhaiya, Kaise Jiyenge Hum,
Dil Leke Ja Rahe Ho, Kaise Jiyenge Hum ॥

Tumhari Yaad Aati Hai Batao Kya Karen Mohan

Tumhari Yaad Aati Hai, Batao Kya Karen Mohan, Tumhari Yaad Aati Hai, Batao Kya Karen Mohan ॥

Khul Gaya Bank Radha Rani Ke Naam Ka

Khul Gaya Baink Radha, Raani Ke Naam Ka, Baitha Banke Manager, Kanha Nandganv Ka, Baitha Banke Manager, Kanha Nandganv Ka ॥