Karti Hu Tumhara Vrat Main (करती हूँ तुम्हारा व्रत मैं - माँ संतोषी भजन)


Karti Hu Tumhara Vrat Main,
Swikar Karo Maa,
Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥
Baithi Hoon Badi Aasha Se,
Tumhare Darbaar Mein,
Kyun Roye Tumhari Beti,
Is Nirdyi Sansar Mein,
Palta Do Meri Bhi Kismat,
Palta Do Meri Bhi Kismat,
Chamatkar Karo Maa ।

Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥

Mere Liye to Band Hai,
Duniya Ki Sab Rahen,
Kalyan Mera Ho Sakta Hai,
Maa Aap Jo Chahen,
Chinta Ki Aag Se Mera,
Chinta Ki Aag Se Mera,
Uddhar Karo Maa ।

Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥

Durbhagy Ki Deewar Ko,
Tum Aaj Hata Do,
Mateshwari Wapis Mere,
Saubhagy Ko La Do,
Is Abhagini Nari Se,
Is Abhagini Nari Se,
Kuch Pyar Karo Maa ।

Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥

Karti Hu Tumhara Vrat Main,
Swikar Karo Maa,
Majhdhar Mein, Main Atki,
Beda Paar Karo Maa,
Beda Paar Karo Maa,
Hai Maa Santoshi, Maa Santoshi ॥

- Movie: Jai Santoshi Maa 1975
करती हूँ तुम्हारा व्रत मैं - माँ संतोषी भजन - हिन्दी में पढ़ें
करती हूँ तुम्हारा व्रत मैं, स्वीकार करो माँ, मझधार में, मैं अटकी..
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanSantoshi Maa BhajanUsha Mangeshkar BhajanHindi Movie BhajanJai Santoshi Maa Movie Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Wo Nyare Hai

Ho Jinki Pratham Pooja Bhagwan Vo Nyare Hain, Gaura Ke Dulare Hain Mahadev Ke Pyare Hain॥