Khatu Ke Raja Kabhi Kripa Najariya (खाटू के राजा कभी किरपा नजरिया: भजन)


Khatu Ke Raja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Dalna Re,
Raja Maharaja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Daalna Re, O Shyam Baba,
Khatu Ke Raja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Daalna Re ॥
Ahalwati Ka Tu Hai Pyara Sa Lalna,
Pita Ghatotkach Jhulaye Hai Palna,
Khatu Ka Rahne Wala Lile Ghode Wala,
Bhakto Ko Tarana Re, O Shyam Baba,
Khatu Ke Raja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Daalna Re ॥

Teen Baan Dhari Teri Mahima Nirali,
Ghar Ghar Mein Pooja Jata Shyam Bihari,
Saari Duniya Mein Baba Baje Tera Danka,
Hum Pe Bhi Daalna Re, O Ek Najariya,
Khatu Ke Raja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Daalna Re ॥

Hamesha Rahna Baba Sang Sang Hamare,
Kehte Hai Tumko Haare Ke Sahare,
Teen Baan Dhaari Teri Mahima Nirali,
‘Navin’ Ko Tarana Re, O Shyam Baba,
Khatu Ke Raja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Daalna Re ॥

Khatu Ke Raja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Daalna Re,
Raja Maharaja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Daalna Re, O Shyam Baba,
Khatu Ke Raja Kabhi Kripa Najariya,
Bhakto Pe Daalna Re ॥
खाटू के राजा कभी किरपा नजरिया: भजन - हिन्दी में पढ़ें
खाटू के राजा कभी किरपा नजरिया, भक्तो पे डालना रे, राजा महाराजा कभी किरपा नजरिया, भक्तो पे डालना रे, ओ श्याम बाबा, खाटु के राजा कभी किरपा नजरिया, भक्तो पे डालना रे ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai

Kisi Ke Kam Jo Aaye, Use Insan Kahte Hain । Paraya Dard Apnaye, Use Insan Kahte Hain ॥

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai

Anmol Tera Jeevan, Yun Hi Ganva Raha Hai, Kis Aur Teri Manjil...

Tulsa Kar Aai Chaaron Dham

Tulsa Kar Aai Charon Dham, Jane Kahan Legi Vishram । Pahala Vishram Vaane Haridwar Mein Payo..

Radha Ka Chitchor Kanhaiya

Radha Ka Chitchor Kanhaiya, Daooji Ka Natkhat Bhaiya, Kunj Galin Ka Raas Rachaiya, Bha Gaya Hamen Bha Gaya...

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein, Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon, Vaani Mein Tanik Mithas Nahin, Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥