Kya Karein In Hathon Ka Itne Itne Haath (क्या करे इन हाथों का, इतने इतने हाथ - भजन)


Kya Kare in Hathon Ka,
Itne Itne Hath,
Kamse Kam Do Sar Pe Rakh De,
Denge Aashirwad ॥
Badi Sarkar Ho Maiya,
Hajaro Hath Wali Ho,
Agar Taqdeer Se Mere,
Tere Do Hath Khaali Ho,
Hathon Ko Bhi Kaam Mile,
Ban Jaye Meri Baat,
Kamse Kam Do Sar Pe Rakh De,
Denge Aashirwad,
Kya Kare in Hatho Ka ॥

Hath Do Sar Pe Rakhakar Maan,
Agar Tum Bhool Jaogi,
Phark Kitna Padega Maan,
Agar Do Kam Bataogi,
Do Ki Ginti Na Kariyo,
Maan Baaki Ke Sath,
Kamse Kam Do Sar Pe Rakh De,
Denge Aashirwad,
Kya Kare in Hatho Ka ॥

Hajaro Hath Rakhwate,
Magar Ye Baat Kaaphi Hai,
Ye Beda Paar Lagane Ko,
Tere Do Hath Kaaphi Hai,
Baaki Saare Yaad Rahe,
Rahe Na Donon Yaad,
Kamse Kam Do Sar Pe Rakh De,
Denge Aashirwad,
Kya Kare in Hatho Ka ॥

Hath Maan Rakhte Hi Tere,
Ye Aansu Gir Gir Na Jaye,
Kaleja Mamta Se Tera,
Agar Maan Bhar Bhar Na Jaye,
Khinch Liyo Banwari Maan,
Sar Se Hathon Hath,
Kamse Kam Do Sar Pe Rakh De,
Denge Aashirwad,
Kya Kare in Hatho Ka ॥

Kya Kare in Hathon Ka,
Itne Itne Hath,
Kamse Kam Do Sar Pe Rakh De,
Denge Aashirwad ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
क्या करे इन हाथों का, इतने इतने हाथ - भजन - हिन्दी में पढ़ें
क्या करे इन हाथों का, इतने इतने हाथ, कमसे कम दो सर पे रख दे, देंगे आशीर्वाद ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kisi Ke Kam Jo Aaye Use Insan Kahte Hai

Kisi Ke Kam Jo Aaye, Use Insan Kahte Hain । Paraya Dard Apnaye, Use Insan Kahte Hain ॥

Anmol Tera Jeevan Yuhi Ganwa Raha Hai

Anmol Tera Jeevan, Yun Hi Ganva Raha Hai, Kis Aur Teri Manjil...

Tulsa Kar Aai Chaaron Dham

Tulsa Kar Aai Charon Dham, Jane Kahan Legi Vishram । Pahala Vishram Vaane Haridwar Mein Payo..

Radha Ka Chitchor Kanhaiya

Radha Ka Chitchor Kanhaiya, Daooji Ka Natkhat Bhaiya, Kunj Galin Ka Raas Rachaiya, Bha Gaya Hamen Bha Gaya...

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein

Ghanshyam Tumhare Mandir Mein, Main Tumhe Rijhane Aayi Hoon, Vaani Mein Tanik Mithas Nahin, Par Vinay Sunane Aayi Hoon ॥