Lal Lal Chunari Ki Ajab Kahani (लाल लाल चुनरी की अजब कहानी - भजन)


Lal Lal Chunari Ki Ajab Kahani ॥
Doha – Lali Meri Maat Ki,
Jit Dekhun Tit Lal,
Lali Dekhan Main Gaya,
Main Bhi Ho Gaya Lal ॥

Lal Lal Chunari Ki Ajab Kahani,
Odh Ke Aai Meri Ambe Bhawani,
Ambe Bhawani Jagdambe Bhawani,
Ambe Bhawani Jagdambe Bhawani ॥

Brahma Ji Ne Isko Banaya,
Vishnu Ne Daari Jartari,
Cham Cham Cham Cham Chamke Chunariya,
Bhole Ne Hai Rang Daari,
Bhakti Bhav Se Bhagat Chadhate,
Bhakti Bhav Se Bhagat Chadhate,
Jo Hai Preet Ki Nishani,
Lal Lal Chunarin Ki Ajab Kahani,
Odh Ke Aai Meri Ambe Bhawani ॥

Maiya Ke Bhaave Mori Lal Chunariya,
Ji Bhar Dekhoon Par Hate Na Najariya,
Maiya Ke Bhaave Mori Lal Chunariya,
Ji Bhar Dekhoon Par Hate Na Najariya,
Tohe Dhyau Mein Saanjh Savere,
Tohe Dhyau Mein Saanjh Savere,
Tu Jagat Ki Maan Vardaani,
Lal Lal Chunarin Ki Ajab Kahani,
Odh Ke Aai Meri Ambe Bhawani ॥

Preet Ka Bandhan Kabhi Na Toote,
Maiya Mori Tu Na Roothe,
Dam Jo Nikle Tere Charnon Mein,
‘Sahil’ Ka Ye Dar Na Chhoote,
Maaph Hume Maan Kar Dena Gar,
Maaph Humen Maan Kar Dena Gar,
Ho Jaye Jo Nadani,
Lal Lal Chunarin Ki Ajab Kahani,
Odh Ke Aai Meri Ambe Bhawani ॥

Lal Lal Chunarin Ki Ajab Kahani,
Odh Ke Aai Meri Ambe Bhawani,
Ambe Bhawani Jagdambe Bhawani,
Ambe Bhawani Jagdambe Bhawani ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
लाल लाल चुनरी की अजब कहानी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
लाल लाल चुनरी की अजब कहानी, ओढ़ के आई मेरी अंबे भवानी, अंबे भवानी जगदंबे भवानी, अंबे भवानी जगदंबे भवानी ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan

Other Popular Lal Lal Chunari Ki Ajab Kahani Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara

Shani Dev Hai Sab Ka Sahara Woh Jeevan Ka Saar Hai, Shani Dev Hai Jag Ke Khivaiya Sab Ke Palanhar Hai॥

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Damru Wale Bhole Bhale Devo Me Tum Dev Nirale

Damru Wale Bhole Bhale, Devo Mein Tum Dev Nirale, Ganga Dharan Karne Wale, Shiv Bhole Jai Shiv Bhole, Bam Bhole Jai Bam Bhole ॥

Shiv Bhola Bhandari

Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Sukh Ka Tyohar, Mile Damru Ke Taal, Kare Dukh Pida Paar Jatadhari, Shiv Bhola Bhandari, Shiv Bhola Bhandari ॥