Maa Muraada Kar Poori (माँ मुराद कर पूरी: भजन)


Maan Muraad Kar Poori Aas Rahe Na Adhuri,
Tere Dar Se Jaunga Jholi Bhar Ke,
Sherowali Mata Dekh Le,
Aaya Unche Mein Pahad Tere Chadh Ke,
Sherowali Mata Dekh Le ॥
Aaya Hoon Main Dwar Tere Sunke Mahaanta,
Bhool Ke Main Raah Maiya Khaak Raha Chhanta,
Aaya Hoon Main Dwar Tere Sunke Mahaanta,
Bhool Ke Main Raah Maiya Khaak Raha Chhanta,
Meri Bigdi Bana De Mujhe Gale Se Lagale,
Paar Kar De Tu Mera Hath Dhar Ke,
Sherowali Mata Dekh Le,
Aaya Unche Mein Pahad Tere Chadh Ke,
Sherowali Mata Dekh Le ॥

Bhare Hai Bhandar Tere Kami Kis Baat Ki,
Khule Dil Se Tu Sukh Bhakto Ko Baantati,
Bhare Hai Bhandar Tere Kami Kis Baat Ki,
Khule Dil Se Tu Sukh Bhakto Ko Baantati,
Rakh Nishchay Jo Aave Use Na Tu Thukraave,
Tar Jaye Maan Pallu Tera Pakad Ke,
Sherowali Mata Dekh Le,
Aaya Unche Mein Pahad Tere Chadh Ke,
Sherowali Mata Dekh Le ॥

Zindagi Sawar Meri Sunle Pukar Ko,
Hara Bhara Kar Mere Sune Sansar Ko,
Zindagi Sawar Meri Sunle Pukar Ko,
Hara Bhara Kar Mere Sune Sansar Ko,
Mujhe Dikhe Na Kinara Mai to Phiroo Maara Maara,
Maar Chhinte Jo Tu Mehar Ke,
Sherowali Mata Dekh Le,
Aaya Unche Mein Pahad Tere Chadh Ke,
Sherowali Mata Dekh Le ॥

Toda Hai Musibaton Ne Khushiyo Ki Taar Ko,
Bhog Raha Duhkh Mene Maan Liya Haar Ko,
Toda Hai Musibaton Ne Khushiyo Ki Taar Ko,
Bhog Raha Duhkh Mene Maan Liya Haar Ko,
Aaya Phir Tu Hai Dware Maiya Tere Hi Sahare,
Mene Dekh Liya Jag Mein Akad Ke,
Sherowali Mata Dekh Le,
Aaya Unche Mein Pahad Tere Chadh Ke,
Sherowali Mata Dekh Le ॥

Maan Muraad Kar Poori Aas Rahe Na Adhuri,
Tere Dar Se Jaunga Jholi Bhar Ke,
Sherowali Mata Dekh Le,
Aaya Unche Mein Pahad Tere Chadh Ke,
Sherowali Mata Dekh Le ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
माँ मुराद कर पूरी: भजन - हिन्दी में पढ़ें
माँ मुराद कर पूरी आस रहे ना अधूरी, तेरे दर से जाऊंगा झोली भर के, शेरोवाली माता देख ले, आया ऊँचे में पहाड़ तेरे चढ़ के, शेरोवाली माता देख ले ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra, Main Mann Ki Baat Batata Hoon, Tum Lete Raho Hanuman Yahan, Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera

O Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Kevat Ram Ka Bhakt Hai

Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega, Jal Sarayu Ka Gahara Bhi Hai,
Paar Usako Lagaana Padega, Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega ॥