Main Sahare Tere, Shyam Pyare Mere (मैं सहारे तेरे, श्याम प्यारे मेरे: भजन)


Main Sahare Tere,
Shyam Pyare Mere,
Meri Chinta Mita De Tu,
Hai Jahan Tera Dar,
Ek Chhota Sa Ghar,
Wahi Mera Bana De Tu,
Mai Sahare Tere,
Shyam Pyare Mere ॥
Tu Sahara Hai Hare Ka Baba,
Dekh Sab Kuchh Main Hara Hua Hoon,
Mere Jakhmon Pe Marham Laga De,
Main Mukaddarka Mara Hua Hoon,
Mera Bairi Jahan Aur Jaoon Kahan,
Shyam Itna Bata De Tu,
Mai Sahare Tere,
Shyam Pyare Mere ॥

Shish Chaukhat Pe Teri Rakha Hai,
De De Aashish O Shish Daani,
Mere Aansu Bayaan Kar Rahe Hai,
Mere Har Ek Gam Ki Kahani,
Sabko Bante Khushi,
Mere Hontho Ko Bhi,
Muskurana Sikha De Tu,
Mai Sahare Tere,
Shyam Pyare Mere ॥

Tham Lega Tu Hath Mera,
Jeet Jaunga Main Khatu Wale,
Ab to Mere Bharose Ki Naiya,
Hai Mere Shyam Tere Havale,
De Gaye Sab Daga,
Der Ab Na Laga,
Kuchh Karishma Dikha De Tu,
Mai Sahare Tere,
Shyam Pyare Mere ॥

Main Sahare Tere,
Shyam Pyare Mere,
Meri Chinta Mita De Tu,
Hai Jahan Tera Dar,
Ek Chhota Sa Ghar,
Wahi Mera Bana De Tu,
Mai Sahare Tere,
Shyam Pyare Mere ॥
मैं सहारे तेरे, श्याम प्यारे मेरे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैं सहारे तेरे, श्याम प्यारे मेरे, मेरी चिंता मिटा दे तू, है जहाँ तेरा दर, एक छोटा सा घर, वही मेरा बना दे तू..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanShri Shayam BhajanKhatu Shyam Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥