Maiya Na Bhulana Humko (मैया ना भुलाना, हमको: भजन)


Maiya Na Bhulana,
Humko Na Bhulana,
Mere Ghar Mein Tum Sada Aati Rahna,
Tera Hai Parivar Tu Sang Mein Rahna,
Maiya Na Bhulana,
Humko Na Bhulana ॥
Chhota Sa Parivar Hai Mera,
Chhota Sa Sansar Hai,
Mere Sir Pe Hath Ho Tera,
Bas Itni Darkar Hai,
Isase Jyada Maiya,
Tumse Kya Kahna,
Tera Hai Parivar,
Tu Sang Mein Rahna,
Maiya Na Bhulana,
Humko Na Bhulana ॥

Kisko Kya Batlau Main,
Kiske Dware Jau,
Tujhko Apne Dil Ki Suna Ke,
Chain Bada Main Pau,
Jo Kahna Bas,
Tere Aage Hi Kahna,
Tera Hai Parivar,
Tu Sang Mein Rahna,
Maiya Na Bhulana,
Humko Na Bhulana ॥

Kuch Bhi Agar Dena Mujhko to,
Maiya Itna Dena,
Mere is Parivar Ke Sir Pe,
Apna Hath Rakh Dena,
Kahe ‘Pawan’ Ke Baar Baar,
Ye Hi Kahna,
Tera Hai Parivar,
Tu Sang Mein Rahna,
Maiya Na Bhulana,
Humko Na Bhulana ॥

Maiya Na Bhulana,
Humko Na Bhulana,
Mere Ghar Mein Tum Sada Aati Rahna,
Tera Hai Parivar Tu Sang Mein Rahna,
Maiya Na Bhulana,
Humko Na Bhulana ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
मैया ना भुलाना, हमको: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मैया ना भुलाना, हमको ना भुलाना, मेरे घर में तुम सदा आती रहना, तेरा है परिवार तू संग में रहना, मईया ना भुलाना, हमको ना भुलाना ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Kirpa Ki Na Hoti Jo Addat Tumhari

Kripa Ki Na Hoti Jo, Aadat Tumhari, To Suni Hi Rahti, Adalat Tumhari

Parbhu Ke Charno Se Sachha Pyar

Ravan Ne Ram Se Ber Kiya Use Ab Bhi Jalaya Jata Hai, Ban Bhakta Vibhisan Saran Gaye Ghar Baae Usi Ka Ho Jaye, Parbhu Ke Charno Se Gar Sachha Pyar Kisi Ko Ho Jaye ॥

Jisko jivan Main Mila Satsang Hai

Jise Jeevan Main Mila Satsang Hain, Use Hardam Anand Hi Anand Hai ।

Mere Ram Ayodhya Aaye

Utsav Bhari Sabhi Manao Ri, Mere Ram Ayodhya Aaye, Mere Ram Ayodhya Aaye, Prabhu Ram Apane Ghar Aaye ॥

Ram Bhajan - Shri Ramji Padhare

Ramji Padhare, Shree Ramji Padhare, Hey ! Dekho Avadh Nagariya Mein Ramji Padhare