Maiya Tumhare Charno Me (मैया तुम्हारे चरणों में: भजन)


Milta Hai Sachcha Sukh Kewal,
Maiya Tumhare Charnon Mein,
Yah Vinti Hai Har Pal Maiya,
Rahe Dhyan Tumhare Charnon Mein,
Milta Hai Sachcha Sukh Kewal ॥
Chahe Bairi Jag Sansar Bane,
Chahe Jeevan Mujh Par Bhaar Bane,
Chahe Maut Gale Ka Haar Bane,
Rahe Dhyan Tumhare Charnon Mein,
Milta Hai Sachcha Sukh Kewal ॥

Chahe Agni Mein Mujhe Jalana Ho,
Chaahe Kanto Pe Mujhe Chalana Ho,
Chahe Chhod Ke Desh Nikalna Ho,
Rahe Dhyan Tumhare Charnon Mein,
Milta Hai Sachcha Sukh Kewal ॥

Chahe Sankat Ne Mujhe Ghera Ho,
Chahe Charon Aur Andhera Ho,
Par Man Nahin Dagmag Mera Ho,
Rahe Dhyan Tumhare Charnon Mein,
Milta Hai Sachcha Sukh Kewal ॥

Jiwha Pe Tumhara Naam Rahe,
Tera Dhyan Subah Aur Shaam Rahe,
Teri Yaad Me Aathon Yaam Rahe,
Rahe Dhyan Tumhare Charnon Mein,
Milta Hai Sachcha Sukh Kewal ॥

Milta Hai Sachcha Sukh Kewal,
Maiya Tumhare Charnon Mein,
Yah Vinti Hai Har Pal Maiya,
Rahe Dhyan Tumhare Charnon Mein,
Milta Hai Sachcha Sukh Kewal ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
मैया तुम्हारे चरणों में: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मिलता है सच्चा सुख केवल, मैया तुम्हारे चरणों में, यह विनती है हर पल मैया, रहे ध्यान तुम्हारे चरणों में, मिलता है सच्चा सुख केवल ॥
Bhajan Navratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Jab Jab Inke Bhakto Pe Koi Sankat Aata Hai

Jab Jab Inke Bhakton Pe, Koi Sankat Aata Hai, Mera Laal Langota Bala,
Pal Mein Dauda Aata Hai ॥

Mere Balaji Maharaj Jaikara Gunje Gali Gali

Mere Balaji Maharaj, Jayakara Gunje Gali Gali, Jayakara Gunje Gali Gali, Jayakara Gunje Gali Gali, Mere Balaji Maharaj, Jayakara Gunje Gali Gali ॥