Man Ke Mandir Mein Prabhu Ko Basana (मन के मंदिर में प्रभु को बसाना: भजन)


Man Ke Mandir Mein Prabhu Ko Basana,
Baat Har Ek Ke Bas Ki Nahin Hai,
Khelaa Padta Hai Zindagi Se,
Bhakti Itni Bhi Sasti Nahin Hai,
Man Ke Mandir Mein Prabhu Ko Basana,
Baat Har Ek Ke Bas Ki Nahin Hai ॥
Prem Meera Ne Mohan Se Daala,
Usko Peena Pada Vish Ka Pyala,
Jab Talak Mamta Hai Zindagi Se,
Uski Rahamat Barasti Nahin Hai,
Man Ke Mandir Mein Prabhu Ko Basana,
Baat Har Ek Ke Bas Ki Nahin Hai ॥

Tan Pe Sankat Pade Man Ye Dole,
Lipte Khambe Se Prahalad Bole,
Patitapavan Prabhu Ke Barabar,
Koi Duniya Mein Hasti Nahin Hai,
Man Ke Mandir Mein Prabhu Ko Basana,
Baat Har Ek Ke Bas Ki Nahin Hai ॥

Sant Kahate Hain Naagin Hai Maya,
Jisne Saara Jagat Kaat Khaya,
Krishna Ka Naam Hai Jiske Man Mein,
Usko Naagin Ye Dasati Nahin Hai,
Man Ke Mandir Mein Prabhu Ko Basana,
Baat Har Ek Ke Bas Ki Nahin Hai ॥

Man Ke Mandir Mein Prabhu Ko Basana,
Baat Har Ek Ke Bas Ki Nahin Hai,
Khelna Padta Hai Zindagi Se,
Bhakti Itni Bhi Sasti Nahin Hai,
Man Ke Mandir Mein Prabhu Ko Basana,
Baat Har Ek Ke Bas Ki Nahin Hai ॥
मन के मंदिर में प्रभु को बसाना: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मन के मंदिर में प्रभु को बसाना, बात हर एक के बस की नहीं है, खेलना पड़ता है जिंदगी से, भक्ति इतनी भी सस्ती नहीं है ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami BhajanBanke Bihari Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Utho Sone Walo Sabera Hua Hai

Utho Sone Walo Sabera Hua Hai । Watan Ke Phakiron Ka Phera Hua Hai ॥ Utho Ab Nirasha Nisha Kho Rahi Hai

Adiyogi The Source Of Yoga

Door us aakash ki gehraiyon mein, Ek nadi se beh rahe hain Adiyogi...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Achyutam Keshavam Krishna Damodaram

Achyutam Keshavam Lyrics in Hindi And English - Achyutam Keshavam Krishna Damodaram. Kaun Kehte Hai Bhagwan Aate Nahi..

Choti Choti Gaiyan Chote Chote Gwal

Choti Choti Gaiya, Chote Chote Gwal । Choto so Mero Madan Gopal ।