Marna Hai Too Ek Bar Maro (मरना है तो एक बार मरो - भजन)


Marna Hai to Ek Baar Maro,
Phir Chaurasi Mein Padna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥
Karke Bhajan Man Nirmal Karlo,
Dhyan Prabhu Ka Har Pal Karlo,
Bhitar Ke Jab Mel Na Dhoye,
Bhitar Ke Jab Mel Na Dhoye,
Bahar Roop Sanvrna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥

Bhala Bura Ka Gyan Rahega,
Parmeshwar Phir Sath Rahega,
Jab Raghunath Ka Hath Ho Sar Pe,
Jab Raghunath Ka Hath Ho Sar Pe,
Phir Hai Kisi Se Darna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥

Katu Vachan Bhi Sahna Padega,
Raah Kathin Hai Chalna Padega,
Shyam Prem Mein Pagal Hua to,
Shyam Prem Mein Pagal Hua to,
Phir Papon Se Darna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥

Nek Karm Bin Janam Bitana,
Uska Bhi Jeena Hai Kya Jeena,
Bhakti Ke Moti Chun Na Sake Phani,
Bhakti Ke Moti Chun Na Sake Phani,
Khak Se Jholi Bharna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥

Marna Hai to Ek Baar Maro,
Phir Chaurasi Mein Padna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya,
Har Baar Ka Marna Marna Kya ॥
मरना है तो एक बार मरो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मुझे दास बनाकर रख लेना, भगवान तू अपने चरणों में, मैं भला बुरा हूँ तेरा हूँ..
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanDhiraj Kant Bhajan

Other Popular Marna Hai Too Ek Bar Maro Video

Marna Hai Too Ek Bar Maro By Swami Ramdev

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ghar Me Padharo Gajanan Ji

Ghar Mein Padharo Gajananji, Mere Ghar Mein Padharo, Riddhi Siddhi Leke Aao Ganaraja...

Ganapati Aaj Padharo Shri Ramaji Ki Dhun Me

Ramji Ki Dhun Mein, Shri Ramji Ki Dhun Mein । Modak Bhog Lagao, Shri Ramji Ki Dhun Mein

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhajan

Mere Ladle Ganesh Pyare Pyare Bhole Baba Ji Ki Ankhon Ke Tare | Prabhu Sabha Bich Mein Aa Jaana Aa Jaana

Gaiye Ganpati Jagvandan

Gaiye Ganapati Jagvandan। Shankar Suvan Bhavani Ke Nandan॥ Siddhi Sadan Gajvadan Vinayak।

Gauri Ke Nanda Gajanand Gauri Ke Nanda

Gauri Ke Nanda Gajanan, Gauri Ke Nanda, Mhane Buddhi Dijo Ganaraj Gajanan