Mere Ghar Aayo Shubh Din Aaj,
Mangal Kare Shree Gajanan ॥
Aao Deva Karun Main Seva,
Modak Aur Dharun Nit Mewa,
Riddhi Siddhi Sang,
Aavo Maharaj,
Mangal Kare Shree Gajanan ॥
Shubh Avasar Hai Mere Aangan,
Vighn Haro Sab Siddhivinayak,
Karun Puja Main To,
Sawaro Ni Kaj,
Mangal Kare Shree Gajanan ॥
Prathana Karte Hain Hrudaya Se Tumko,
Khushiya Khushiya Dena Humko,
Tere Charon Main Lakho Pranam,
Mangal Kare Shree Gajanan ॥
Mere Ghar Aayo Shubh Din Aaj,
Mangal Kare Shree Gajanan ॥