Meri Akhion Ke Samne Hi Rehina Oh Shero Wali Jagdambe (मेरी आखिओं के सामने ही रहना - भजन)


Meri Akhion Ke Samne Hi Rahna,
Maa Sheron Wali Jagdambe ।
Hum to Chaakar Maiya,
Tere Darbaar Ke,
Bhookhe Hain Hum to Maiya,
Bas Tere Pyar Ke ॥

Vinti Hamari Bhi,
Ab Karo Manzoor Maa,
Charanon Se Hamko Kabhi,
Karna Na Door Maa ॥

Mujhe Jaan Ke Apna Balak,
Sab Bhool Tu Meri Bhula Dena,
Sheron Wali Jagdambe,
Anchal Mein Mujhe Chhipa Lena ॥
॥ Meri Akhion Ke Samne… ॥

Tum Ho Shiv Ji Ki Shakti,
Maiya Sheron Wali ।
Tum Ho Durga Ho Ambe,
Maiya Tum Ho Kali.
Ban Ke Amrit Ki Dhaar Sada Bahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥
॥ Meri Akhion Ke Samne… ॥

Tere Balak Ko Kabhi Maa Sabar Aaye,
Jahan Dekhoon Maa Tu Hi Tu Nazar Aaye ।
Mujhe Iske Siva Kuchh Na Kahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥
॥ Meri Akhion Ke Samne… ॥

Dedo Sharma Ko Bhakti Ka,
Daan Maiya Ji,
Lakkha Gata Rahe,
Tera Gungaan Maiya Ji ।
Hai Bhajan Tera,
Bhakto Ka Gahana,
O Sheron Wali Jagdambe ॥

Meri Akhion Ke Samne Hee Rahana,
Maa Sheron Wali Jagdambe ।
मेरी आखिओं के सामने ही रहना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरी आखिओं के सामने ही रहना, माँ शेरों वाली जगदम्बे।
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanMaa Durga BhajanLakha BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tumhein Har Ghadi Maa Pyar Karegi

Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi, Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho, Jhulayegi Palakon Ke Jhoole Mein Tujhko, Bas Ek Baar Maan Tum Bula Karke Dekho, Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi, Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho ॥

Apane Charano Ka Sevak Bana Lo

Hume Apne Gale Se Laga Lo Maa, Apane Charano Ka Sevak, Bana Lo Maa ॥

Dadi Ke Darbar Ki Mahima Aprampaar

Dadi Ke Darbar Ki, Mahima Aprampaar, Har Paal Bhakton Ke Upar, Maa Barse Tera Pyar, Dadi Ke Darbar Ki, Mahima Aprampaar ॥

Meri Maa Ke Barabar Koi Nahi

Hey Kalaratri He Kalyani, Tera Jod Dhara Par Koi Nahin, Meri Maan Ke Barabar Koi Nahin..

Bheja Hai Bulava Tune Shera Waliye

Bheja Hai Bulava, Tune Shera Valie, O Maiya Tere Darbar | Mein Han Tere Deedar, Ki Main Aunga
Kabhi Na Phir Jaunga