Meri Akhiyan Taras Rahi Bhole Ka Didar Pane Ko (मेरी अखियाँ तरस रही, भोले का दीदार पाने को: भजन)


Meri Akhiyaan Taras Rahi,
Bhole Ka Didar Paane Ko,
Main Bhagat Dewana Tera,
Dikha Dunga Jamane Ko,
Meri Akhiyaan Taras Rahi,
Bhole Ka Didar Paane Ko ॥
Teri Lagan Mein Duba Rahunga,
Jab Tak Hai Sanso Mein Dam,
JItna Chahe Lele Imtiha,
Phir Bhi Aas Na Hogi Kam,
Ye Maan Vichalit Ho Raha Bhole,
Aa Kuchh Samajhane Ko,
Meri Akhiyaan Taras Rahi,
Bhole Ka Didar Paane Ko ॥

Koi Chadhaye Sona Chaandi,
Hire Aur Moti Anamol,
Mere Paas Prabhu Kuchh Bhi Nahin,
Bas Bhakti Lagan Ke Mithe Bol,
Ye Jivan Tujhpe Arpan,
Aa Daya Barsane Ko,
Meri Akhiyaan Taras Rahi,
Bhole Ka Didar Paane Ko ॥

Meri Akhiyaan Taras Rahi,
Bhole Ka Didar Paane Ko,
Main Bhagat Dewana Tera,
Dikha Dunga Jamane Ko,
Meri Akhiyaan Taras Rahi,
Bhole Ka Didar Paane Ko ॥
मेरी अखियाँ तरस रही, भोले का दीदार पाने को: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरी अखियाँ तरस रही, भोले का दीदार पाने को, मैं भगत दीवाना तेरा, दिखा दूंगा ज़माने को, मेरी अँखियाँ तरस रही, भोले का दीदार पाने को ॥
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati

Maaniye Pahale Gajanan, Gajvadan Hey Ganapati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Tum Bhi Bolo Ganpati, Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Apna Hai Seth Ganpati Lala

Apna Hai Seth Ganpati Lala, Shiv Shankar Sut Dev Ganapati, Devo Mein Balakare, Sabase Pahale Tera Sumiran, Karati Duniya Sari, Devo Mein Dev Hai Niraala, Apna Hai Seth Ganpati Lala ॥

Gauri Ke Ladle

Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan, Karta Hai Sabse Pahale, Pooja Teri Jahan, Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan ॥

Padharo Mhare Angana Ji

Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Padharo Mhare Angna Ji, Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji ॥