Meri Vipda Taal Do Aakar (मेरी विपदा टाल दो आकर: भजन)


Meri Vipda Taal Do Aakar,
Hey Jag Janani Mata ॥
Tu Vardani Hai,
Aad Bhawani Hai,
Maan Tu Vardani Hai,
Aad Bhawani Hai,
Kya Mein Tera Laal Nahin Hoon,
Kya Tu Maan Nahin Meri,
Phir Kyon Lagai Deri,
Tu Hi Kahade Hai Ye Kaisa,
Maan Bete Ka Naata,
Sheron Wali Mata,
Sheron Wali Mata ॥

Mein Agyani Hoon,
Moorakh Prani Hoon,
Maan Mein Agyani Hoon,
Moorakh Prani Hoon,
Jis Par Bhi Tumne,
O Meri Maiya,
Drishti Daya Ki Daali,
Uski Miti Kangali,
Tere Dar Pe Aakar Prani,
Munh Manga Var Pata,
Mehro Wali Mata,
Hey Jag Janani Mata ॥

Maat Bhawani Ho,
Jag Kalyani Ho,
Maan Maat Bhawani Ho,
Jag Kalyani Ho,
Lakhkha Tere Dar Pe Aaya,
Dhool Charan Ki Paane,
Soya Bhagya Jagane,
Teri Chaukhat Chhod Ke Sharma,
Aur Kahan Ab Jaata,
Hey Jag Janani Mata ॥

Meri Vipda Taal Do Aakar,
Hey Jag Janani Mata,
Sheron Wali Mata,
Mehro Wali Mata ॥
मेरी विपदा टाल दो आकर: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मेरी विपदा टाल दो आकर, हे जग जननी माता, शेरों वाली माता, मेहरो वाली माता ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jagannath Chakka Nain Nilachal Vare

Jagannath Chakka Nain Neelachal Vare, Jagannath, Jagannath, Chaka Nain, Chaka Nain

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Re

Baba Mere Jagannath Tera Charcha Ho Gya Rai, Yo Khati Ka Chhaura Baba Tera Ho Gya Sai..

Michha Duniare Gotie Sata Jagannatha

Micha Duniare Gotie Sata (2), Jagannatha Se Mo jagannath (2)

Jai Jagannath Hamen Rahana Aapke Charanon Me

Shubh Shubh Din Aaya Shubh Ghadi, Jay Jagannath Se Goonja Aasmaan , Use Chaaron Dham Ka Punya Mila, Jo Karke Poorn Teri Parikrama

Jai Jai Jagannath Jag Ke Nath

Jay Jay Jagannath Jag Ke Nath, Hum Tumhen Bhajte Hain Din Raat, Jinka Na Koi Tum Unke Sath, Hum Tumhen Bhajte Hain Din Raat