Mujhe Tera Sahara Sada Chahiye (मुझे तेरा सहारा सदा चाहिए: भजन)


Aasra Is Jahaan Ka Mile Na Mile,
Mujhe Tera Sahara Sada Chahiye ॥
Chand Tare Phalak Par Dikhe Na Dikhe,
Mujh Ko Tera Nazara Sada Chahiye,
Dhan Daulat Jahaan Ki Mile Na Mile,
Satguru Tere Charanon Ki Raj Chahiye ॥

Yahan Khushiya Hain Kam, Aur Jyada Hai Gam,
Jahan Dekho Wahin Hai Dekho Bharam Hi Bharam,
Meri Mahafil Mein Shamma Jale Na Jale,
Mere Dil Mein Ujala Tera Chahiye ॥

Kabhi Vairag Hai, Kabhi Anuraag Hai,
Yahaan Badle Hain Maali Wahi Baag Hai,
Meri Chaahat Ki Duniya Base Na Base,
Mere Dil Mein Basera Tera Chahiye ॥

Meri Dheemi Hai Chaal, Aur Path Hai Vishal,
Har Kadam Par Musibat Ab Tu Hi Sambhal,
Pair Mere Thaken Hain, Chale Na Chale,
Mere Dil Mein Ishaara Tera Chahiye ॥

Kabhi Bairag Hai, Kabhi Anurag Hai,
Jindagi Bin Dhune Ki Ajab Aag Hai,
Maan Sammaan Jag Mein Mile Na Mile,
Bas Kripa Honi Baba Teri Chahiye ॥

Aasra Is Jahaan Ka Mile Na Mile,
Mujhe Tera Sahara Sada Chahiye ॥
मुझे तेरा सहारा सदा चाहिए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
आसरा इस जहाँ का मिले न मिले, मुझे तेरा सहारा सदा चाहिए ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Katha BhajanAyodhya Dham Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,