Mushak Sawari Leke Aana Ganraja (मूषक सवारी लेके, आना गणराजा: भजन)


Mushak Sawari Leke,
Aana Ganraja,
Riddhi Siddhi Ko Le Aana,
Aake Bhog Lagana,
Mere Aangan Mein, Aangan Mein,
Mushak Sawari Leke,
Aana Ganraja ॥
Laal Sindoor Ka Tika Laga Ke,
Paan Aur Phool Chadau,
Modak Laduwan Se Bhar Thali,
Tum Ko Bhog Lagau,
Dekh Tumhari Mahima Nirali,
Gaun Barambar Ho,
Kaaraj Mere Sab,
Shubh Kar Jana,
Riddhi Siddhi Ko Le Aana,
Aake Bhog Lagana,
Mere Aangan Mein, Aangan Mein,
Mushak Sawari Leke,
Aana Ganraja ॥

Sukh Karata Tum,
Duhkh Ke Harta,
Sabke Pyare Ganesh Ho,
Pyaar Dulaar Hamesha Rahe Prabhu,
Na Ho Koi Kalesh Ho,
Sab Ki Naiya Paar Kiye Ho,
Mujhko Bhi Do Taar,
Charnon Mein Tere Prabhu Mera Thikana,
Riddhi Siddhi Ko Le Aana,
Aake Bhog Lagana,
Mere Aangan Mein, Aangan Mein,
Mushak Sawari Leke,
Aana Ganraja ॥

Mushak Sawari Leke,
Aana Ganraja,
Riddhi Siddhi Ko Le Aana,
Aake Bhog Lagana,
Mere Aangan Mein, Aangan Mein,
Mushak Sawari Leke,
Aana Ganraja ॥
मूषक सवारी लेके, आना गणराजा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
मूषक सवारी लेके, आना गणराजा, रिद्धि सिद्धि को ले आना, आके भोग लगाना, मेरे आंगन में, आंगन में, मुषक सवारी लेके, आना गणराजा ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Rani Ne Kripa Barsayi

Mata Rani Ne Kripa Barsayi, meri har gal Puri Hundi Ayi, mata Rani Ne Keetti Sunavayi

Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai

Teri Chhaya Mein, Tere Charanon Mein, Magan Ho Baithoon, Tere Bhakto Mein ॥ Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai,

Meri Maa Ambe Durga Bhawani

Meri Maa Ambe Durga Bhawani, Kis Jagah Tera Jalava Nahin Hai, Tera Jalava Koi Koi Dekhe, Har Kisi Ka Mukadar Nahi Hai, Tera Jalwa Jalwa Jalwa, Tera Jalwa Jalwa Jalwa, Tera Jalava Koi Koi Dekhe,
Har Kisi Ka Mukadar Nahi Hai ॥