Nagar Mein Jogi Aaya Yashoda Ke Ghar Aaya (नगर मे जोगी आया यशोदा के घर आया - भजन)


Nagar Me Jogi Aaya,
Bhed Koi Samajh Na Paya ।
​Shlok – Oonche Oonche Mandir Tere,
Ooncha Hai Tera Dham,
Hey Kailash Ke Vasi Bhole,
Hum Karte Hai Tujhe Pranam ॥

Nagar Me Jogi Aaya,
Bhed Koi Samajh Na Paya,
Ajab Hai Teri Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya,
Yashoda Ke Ghar Aaya,
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥

Ang Vibhooti Gale Roond Mala,
Sheshnaag Liptayo,
Banko Tilak Bhaal Chandrama,
Ghar Ghar Alakh Jagayo,
Nagar Me Jogi Aaya,
Bhed Koi Samajh Na Paya.
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥

Le Bhiksha Nikli Nandrani,
Kanchan Thal Jadayo,
Do Bhiksha Jogi Aasan Jaayon,
Balak Mero Darayo,
Nagar Me Jogi Aaya,
Bhed Koi Samajh Na Paya.
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥

Na Chahiye Teri Daulat Duniya,
Na Hi Kanchan Maya,
Apne Lala Ka Darash Kara De,
Mai Darshan Ko Aaya,
Nagar Me Jogi Aaya,
Bhed Koi Samajh Na Paya.
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥

Panch Vaar Parikrama Karke,
Sundi Naad Bajayau,
Soordas Balihari Kanhaiya Ki,
Jug Jug Jiye Tero Laalon,
Nagar Me Jogi Aaya,
Bhed Koi Samajh Na Paya.
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥

Nagar Me Jogi Aaya,
Bhed Koi Samajh Na Paya,
Ajab Hai Teri Maya,
Ise Koi Samajh Na Paya,
Yashoda Ke Ghar Aaya,
Sabse Badha Hai Tera Naam,
Bholenath Bholenath Bholenath ॥
नगर मे जोगी आया यशोदा के घर आया - भजन - हिन्दी में पढ़ें
नगर मे जोगी आया, भेद कोई समझ ना पाया, अजब है तेरी माया, इसे कोई समझ ना पाया, यशोदा के घर आया...
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Meri Binti Yahi Hai Radha Rani

Meri Binti Yahi Hai Radha Rani, Kripa Barsae Rakhna

Jambheshwar Aarti Om Shabd Sohan Dhyave

Om Shabd Soham Dhyave, Swami Shabd Sohan Dhyave । Dhup Deep Le Aarti, Nij Hari Gun Gave | Mandir Mukut Trishul Dhwaja, Dharmon Ki Ph Harave

Mhane Jambhoji Diyo Upadesh

Mhane Jambhoji Diyo Updesh, Bhag Mharo Jagiyo | Marudhar Desh Samarathal Bhumi,
Guruji Diyo Updesh

Mithe Ras Se Bharyo Ri Radha Rani Lage

Mithe Ras Se Bhariyo Ri, Radha Rani Lage, Maharani Lage..

Radhe Radhe Japo Chale Aayenge Bihari

Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Rato Chale Ayenge Bihari, Ayenge Bihari Chale Ayenge Bihari, Radhe Radhe Japo Chale Ayenge Bihari ॥