Namami Namami Awadh Ke Dulare (नमामि-नमामि अवध के दुलारे - भजन)


Namami-namami Awadh Ke Dulare ।
Khada Hath Bandhe Main Dar Par Tumhare ॥
Na Karta Hoon Bhakti Na Jap Yog Sadhan ।
Kaise Katenge Yah Maya Ke Bandhan ॥
Duhkhi Deen Ho Ke Yah Manva Pukare ॥
Namami-namami Awadh Ke Dulare ।
Bhanwar Mein Padi Aa Ke Naiya Yah Meri ।
Sahara Na Dooja Hai Ik Aas Teri ॥
Tu Ban Ke Khivaiya Laga De Kinare ॥
Namami-namami Awadh Ke Dulare ।

Main Kami Hoon Krodhi Hoon Lobhi Awara ।
Liya Naam Dil Se Kabhi Na Tumhara ॥
Daya Kar Kshama Kar Tu Bakhsh Bakhshan Hare ॥
Namami-namami Awadh Ke Dulare ।

Binti Yahi Hai Prabhu Ke Charan Mein ।
Aaye Hain Hum Sab Tumhari Sharan Mein ॥
Karo Door Avgun Jo Hoven Hamare ॥
Namami-namami Awadh Ke Dulare ।
नमामि-नमामि अवध के दुलारे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
नमामि-नमामि अवध के दुलारे । खड़ा हाथ बांधे मैं दर पर तुम्हारे ॥ न करता हूं भक्ति न जप योग साधन ।..
Bhajan Shri Ramavtar BhajanBhay Prakat Kripala BhajanBadhai BhajanJanmdin BhajanBirthday BhajanNavjanm BhajanSohar BhajanShri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanRajan Ji Maharaj Bhajan Bhajan

Other Popular Namami Namami Awadh Ke Dulare Video

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Shankar Tum Kailashpati

Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi, Shiv Shankar Tum Kailashpati, Hai Shish Pe Gang Viraj Rahi ॥

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Ram Ka

Ram Ka Rat Jaga, Rat Jaga Raam Ka, Gao Badhai Shubh Ghadi Aayi, Palan Palan Nisadin Ho Raha Sumiran..
Ek Hi Naam Ka

Main Do-Do Maa Ka Beta Hun

Main Do-do Maa Ka Beta Hun, Dono Maiya Badi Pyari Hai । Ek Mata Meri Janani Hai, Ek Jag Ki Palanhari Hai ॥

Tere Charno Mein Sir Ko Jhukata Rahu

Tere Charanon Main Sar Ko, Jhukata Rahun, Tu Bulata Rahe, Aur Main Aata Rahun ॥

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare

Laut Ke Aaja Nand Ke Dulare, Ummid Lagaye, Na Jaane Mera, Laala Kab Aaye ॥