O Pawan Putra Hanuman Ram Ke Param Bhakt Kahlaye (ओ पवन पुत्र हनुमान राम के, परम भक्त कहलाए: भजन)


O Pawan Putra Hanuman Ram Ke,
Param Bhakt Kahalaye,
Teri Mahima Sab Jah Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥
Hai Balpane Ki Baat Tumhi Ne,
Rabi Ko Mukh Main Dabaya,
Hanuman-2, Hanuman-2,
Hai Balpane Ki Baat Tumhi Ne,
Rabi Ko Mukh Main Dabaya,
Duniya Main hahakar Macha,
Jab Ghor Andhera Chaya,
Jab Ghor Andhera Chaya,
Bramhan Ne Baraj Prahar Kiya,
Tabase Hanuman Kahaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥

Banar Raja Sugrib Ki,
Pampapur Ka Rajya Dilaya,
Hanuman-2. Hanuman-2,
Banar Raja Sugrib Ki,
Pampapur Ka Rajya Dilaya,
Sita Ji Ki Sudhi Lane Ka,
Beda Tumane Hi Uthaya,
Beda Tumane Hi Uthaya,
Shree Ram Ko Se Mudrika Lekar Ke,
Lanka Ko Chale Hashaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥

Karake Samundar Paar Vivisan,
Ko Bandhan Se Chudaya,
Hanuman-2, Hanuman-2,
Karake Samundar Paar Vivisan,
Ko Bandhan Se Chudaya,
Ashok Vatika Main Jakar,
Maa Ko Sandesh Sunaya,
Maa Ko Sandesh Sunaya,
Naino Main Aansu Aaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥

Phal Khane Ki Agyan Lekar,
Ravan Ka Baag Ujada,
Hanuman-2, Hanuman-2,
Phal Khane Ki Agyan Lekar,
Ravan Ka Baag Ujada,
Aur Akhayakumar Ko Mara,
Aur Akhayakumar Ko Mara,
Tumhai Meghanad Ne Chal Se Bandha,
Teri Mahima Sab Jag Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥

Ravan Ki Angya Se Danav Ne,
Puch Mein Aag Lagai,
Hanuman-2, Hanuman-2,
Ravan Ki Angya Se Danav Ne,
Puch Mein Aag Lagai,
Siyaram Chandra Ki Jay Kahakar,
Sone Ki Lanka Jalai,
Sone Ki Lanka Jalai,
Sita Ji Se Aangya Lekar,
Phir Ramdal Mein Aaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥

Charanon Main Shish Navakar Ke,
Prabhu Ko Sandesa Sunaya,
Hanuman-2, Hanuman-2,
Charanon Main Shish Navakar Ke,
Prabhu Ko Sandesa Sunaya,
Sunakar Ke Byatha Sita Maa Ki,
Naino Mein Nir Bhar Aaya,
Naino Mein Nir Bhar Aaya,
O Ram Dut Balban Tumhari,
Mahima Varani Na Jaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥

Shakti Lagi Jab Lakhsman Ko,
Tumnae Hi Pran Bachaye,
Hanuman-2, Hanuman-2,
Shakti Lagi Jab Lakhsman Ko,
Tumnae Hi Pran Bachaye,
Ahiravn Ke Bandhan Se,
Ram Lakhan Ko Chudakar Laye,
Donon Ko Chudakar Laye,
Mahavir Tumhare Charanon Main,
'Tarachand' Shish Navaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥

O Pawan Putra Hanuman Ram Ke,
Param Bhakt Kahalaye,
Teri Mahima Sab Jah Gaye,
Teri Mahima Sab Jag Gaye ॥
ओ पवन पुत्र हनुमान राम के, परम भक्त कहलाए: भजन - हिन्दी में पढ़ें
ओ पवन पुत्र हनुमान राम के, परम भक्त कहलाए, तेरी महिमा सब जग गाए, तेरी महिमा सब जग गाए ॥
Bhajan Hanuman BhajanBalaji BhajanBajrangbali BhajanHanuman Janmotsav BhajanHanuman Jyanti BhajanMangalwar BhajanTuesday BhajanHanuman Path BhajanSundar Kand Path Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Tera Jag Hai Kare Gunagaan Gajaanan Lambodar

Tera Jag Hai Karen Gungaan, Gajanan Lambodar, Lambodar Hey Lambodar, Lambodar Hey Lambodar,
Tu Jag Mein Sabse Mahan, Gajanan Lambodar, Tera Jag Hai Kare Gungaan, Gajanan Lambodar ॥

Gajanand Maharaj Padharo Kirtan Ki Taiyari Hai

Pratham Manaye Ganesh Ke, Dhyaoo Sharada Maat, Maat-Pita Guru Prabhu Charan...

Preet Main Puje Naam Tumhara

Preet Me Puje Naam Tumhara, Ganpati Jagat Khivaiya, Shiv Nandan Ab Aaj Hamari, Paar Lagana Naiyya, Jai Gauri Ke Lala ॥

Main Aaya Hoon Tere Dware Ganaraj Gajanan Pyare

Main Aaya Hoon Tere Dware, Ganaraj Gajanan Pyare, Meri Naiya Padi Hai Kinare, O Vighan Vinashan Haare, Mujhe Kaun Sambhale, Meri Laaj Bachale, Mere Man Mohiya, Tera Bas Dhyaan Kiya, Gajanan Naam Liya, Tera Bas Dhyaan Kiya, Gajanan Naam Liya ॥

Koi Shubh Kam Ho

Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle, Ganesha Ko Hum Sab Manaye, Reeti Devon Ne Iski Chalai, Iss Reeti Ko Hum Sab Nibhaye, Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle, Ganesha Ko Hum Sab Manaye, Koin Shubh Kaam Ho Sabse Pahle ॥