Prabhu Humpe Daya Karna (प्रभु हम पे कृपा करना, प्रभु हम पे दया करना - भजन)


Prabhu Humpe Daya Karna, Kripa Karna Daya Karna।
Vaikunth Too Yahi Hai, Hirdaya Mein Raha Karna॥
Gunjenge Raag Bankar, Veena Ki Tar Banke।
Pragatoge Mein Naath Mere, Hirdaya Mein Pyaar Banke।
Har Ragimi Ki Dhun Pe, Swar Ban Ke Utha Karna।
Vaikunth Too Yahi Hai, Hirdaya Mein Raha Karna॥
॥ Prabhu Humpe Daya Karna...॥

Nachenge Mor Bankar, Hey Shyam Tere Dware।
Ghanshyam Chhaye Rehna, Ban Kar Ke Megh Kare।
Amrit Ki Dhar Bankar, Pyason Pe Daya Karna।
Vaikunth Too Yahi Hai, Hirdaya Mein Raha Karna॥
॥ Prabhu Humpe Daya Karna...॥

Tere Viyog Mein Hum, Din Raat Hain Udasi।
Apni Sharan Mein Le Lo, Hey Nath Vraj Ke Vasi।
Tum So Hum Shabd Bankar, Pranon Mein Rama Karna।
Vaikunth Too Yahi Hai, Hirdaya Mein Raha Karna॥

Prabhu Humpe Daya Karna, Kripa Karna Daya Karna।
Vaikunth Too Yahi Hai, Hirdaya Mein Raha Karna॥
प्रभु हम पे कृपा करना, प्रभु हम पे दया करना - भजन - हिन्दी में पढ़ें
प्रभु हम पे कृपा करना, प्रभु हम पे दया करना। बैकुंठ तो यही है, हृदय में रहा करना॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanShri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Bansi Bajake Meri Nindiya Churayi

Bansi Baja Ke Meri Nindiya Churayi, Ladla Kanhaiya Mera Krishn Kanhai..

Dar Pe Tumhare Saware

Dar Pe Tumhare Sanware, Sar Ko Jhuka Diya, Mainne Tumhari Yaad Mein, Khud Ko Mita Diya, Dar Pe Tumhare Sanware, Sar Ko Jhuka Diya ॥

Kalyug Ka Dev Nirala Mera Shyam Hai Khatu Wala

Kalyug Ka Dev Nirala, Mera Shyam Hai Khatu Wala, Kadam Kadam Par Raksha Karta, Bhakto Ka Rakhwala Re, Kalyug Ka Denv Nirala, Mera Shyam Hai Khatu Wala ॥

Hey Girdhar Gopaal Laal Tu Aaja More Angana

Hey Girdhar Gopal Laal Tu, Aaja More Aangna, Makhan Mishri Tane Khilaun, Aur Jhulaun Palna...