Prabhu Mere Mann Ko Banado Shivalay (प्रभु मेरे मन को बना दे शिवाला - भजन)


Prabhu Mere Man Ko Bana De Shivala,
Tere Naam Ki Main Japun Roj Mala ।
Ab to Manokamna Hai Yah Meri,
Jidhar Dekhun Aaye Najar Damaru Vala ॥
॥ Prabhu Mere Man Ko Bana De Shivala… ॥
Kahin Aur Kyun Dhundhne Tujh Ko Jaun,
Prabhu Man Ke Bhitar Hi Main Tujh Ko Paun ।
Yah Man Ka Shivala Ho Sab Se Nirala,
Jidhar Dekhun Aaye Najar Damaru Vala ॥
॥ Prabhu Mere Man Ko Bana De Shivala… ॥

Bhakti Pe Hai Apni Vishwas Mujh Ko,
Banayega Charnon Ka Tu Daas Mujh Ko ।
Main Tujh Se Juda Ab Nahin Rahane Vala,
Jidhar Dekhun Aaye Najar Damaru Vala ॥
॥ Prabhu Mere Man Ko Bana De Shivala… ॥

Tu Darpan Sa Ujala Mere Man Ko Karde,
Tu Apna Ujala Mere Man Mein Bharde ।
Hain Charo Dishaon Mein Tera Ujala,
Jidhar Dekhun Aaye Najar Damaru Vala ॥

Prabhu Mere Man Ko Bana De Shivala,
Tere Naam Ki Main Japun Roj Mala ।
Ab to Manokamna Hai Yah Meri,
Jidhar Dekhun Aaye Najar Damaru Vala ॥
प्रभु मेरे मन को बना दे शिवाला - भजन - हिन्दी में पढ़ें
प्रभु मेरे मन को बना दे शिवाला, तेरे नाम की मैं जपूं रोज माला। अब तो मनो कामना है यह मेरी...
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanTerash BhajanTriyodashi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Hari Nam Sumir Sukhdham Jagat Mein

Hari Nam Sumir Sukhdham, Hari Nam Sumir Sukhdham, Jagat Mein Jeevan Do Din Ka...

Kuch Nahi Bigadega Tera Hari Sharan Aane Ke Baad

Kuch Nahin Bigdega Tera, Hari Sharan Aane Ke Baad । Har Khushi Mil Jayegi Tujhe..

Hari Hari Hari Sumiran Karo

Hari Hari, Hari Hari, Sumiran Karo, Hari Charnaravind Ur Dharo

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage

Uth Khada Ho Lakshman Bhayia Ji Na Lage, Lakhnva Nahi Jana Ki Ji Na Lage ॥

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein

Chalo Ayodhya Ram Raj Mein, Saja Dipo Ki Thali, Paap Ki Koi Bhag Nahi Hai, Chamake Dharm Ki Laali, Hue Dhanya Dhara Ye Avadha Ki, Aaye Jo Ram Ayodhya Mein ॥