Raksha Karo Mere Ram (रक्षा करो मेरे राम: भजन)


Raksha Karo Mere Ram,
Raksha Karon Mere Ram,
Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan,
Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan,
Poojoon Tum Subah Shaam,
Raksha Karo Mere Ram,
Raksha Karo Meren Ram ॥
Man Mein Yakeen Hai Ye Sada,
Chhoote Na Dwar Tumhara,
Naata Juda Tumse Mera,
Tum Hi Ho Mera Sahara,
Prano Ki Saanse Tumse Hi Bhagwan,
Bigde Bane Saare Kaam,
Raksha Karo Meren Ram,
Raksha Karo Meren Ram ॥

Shobhit Sada Hota Raha,
Raghuvar Tumhara Hi Dwara,
Dharti Gagan Goonje Sada,
Bhajnon Se Sansar Saara,
Jaikaro Se Goonje Ye Duniya,
Jaikaro Se Goonje Ye Duniya,
Goonje Gagan Tera Naam,
Raksha Karo Meren Ram,
Raksha Karo Meren Ram ॥

Doobe Ravi Laali Liye,
Sarayu Nadi Ka Kinara,
Chalti Pawan Chamke Nayan,
Is Pal Mein Man Ko Sanwara,
Is Jeevan Ki Mahaki Hai Bagiya,
Is Jeevan Ki Mahaki Hai Bagiya,
Jeevan Kiya Tere Naam,
Raksha Karo Meren Ram,
Raksha Karo Meren Ram ॥

Phaili Kiran Mahake Suman,
Deepon Sa Phaile Ujala,
Madir Saje Aangan Saje,
Harshit Hua Dil Hamara,
Man Mera Mandir Moorat Hai Teri,
Man Mera Mandir Moorat Hai Teri,
Ye Jag Bana Tera Dhaam,
Raksha Karo Meren Ram,
Raksha Karo Meren Ram ॥

Raksha Karo Mere Ram,
Raksha Karon Mere Ram,
Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan,
Man Ki Lagi Hai Tumse Hi Bhagwan,
Poojun Tum Subah Shaam,
Raksha Karo Meren Ram,
Raksha Karo Meren Ram ॥
रक्षा करो मेरे राम: भजन - हिन्दी में पढ़ें
रक्षा करो मेरे राम, रक्षा करों मेरे राम, मन की लगी है तुमसे ही भगवन, मन की लगी है तुमसे ही भगवन, पूजूँ तुम सुबह शाम, रक्षा करो मेरें राम, रक्षा करो मेरें राम ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shri Krishna Govind Hare Murari

Shri Krshna Govind Hare Murari, He Nath Narayan Vasudeva॥ He Nath Narayan...

Namavali: Ramayan Manka 108

Bhid Padi Jab Bhakt Pukare । Door Karo Prabhu Du:kh Hamare ॥ Dasharath Ke Ghar Janme Ram ।

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..