Ram Bhajle Re Jara Ye Bite Zindgani (राम भजले रे जरा, ये बीते जिंदगानी - भजन)


Ram Bhajle Re Jara,
Ye Bite Zindgani,
Ram Naam Saancha Hai,
Bhajle Naam Prani ॥
Vada Prabhu Se,
Karke Jo Aaya,
Jag Mein Aakar,
Tu Bisraaya,
Prabhu Ki Amanat,
Padengi Lautani,
Ram Bhajlen Re Jara,
Ye Bite Zindgani ॥

Aisa Mauka,
Phir Na Milega,
Aaj Hai Kal,
Ye Bhi Na Rahega,
Ram Naam Ki,
Phero Mala,
Yam Se Padega,
Phir Na Paala,
Yam Ki Maar,
Padengi Na Khani,
Ram Bhajlen Re Jara,
Ye Bite Zindgani ॥

Kaliyug Keval,
Naam Adhaara,
Sumri Sumri Nar,
Utarahin Paara,
Vaid Shastron Ki ‘Shiv’,
Amar Hai Yah Vaani,
Ram Bhajlen Re Jara,
Ye Bite Zindgani ॥

Naam Prabhu Ka,
Jo Na Bhajenge,
To Bhav Se Ham,
Kaise Tarenge,
Mushkil Se,
Maanush Tan Paaya,
Lekin Phir Bhee,
Naam Na Dhyaya,
Ram Bhajlen Re Jara,
Ye Bite Zindgani ॥

Ram Bhajle Re Jara,
Ye Bite Zindgani,
Ram Naam Saancha Hai,
Bhajle Naam Prani ॥
राम भजले रे जरा, ये बीते जिंदगानी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम भजले रे जरा, ये बीते जिंदगानी, राम नाम सांचा है, भजले नाम प्राणी ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Chitrakoot Ke Ghat Ghat Par Shabri Dekhe Baat

Chitrakoot Ke Ghat-Ghat Par, Shabari Dekhe Baat, Ram Mere Aa Jao, Chitrakut Ke Ghat-Ghat Par...

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya, Nandlala Ghanshyam Re, Govardhan Girdhari Kanha, Tere Kitne Naam Re, Bolo Shyam Radhe Shyam...

Ek Nazar Bas Ek Nazar Hum Pe Bhi Mohan Vaar De

Ek Nazar Bas Ek Nazar, Hum Pe Mohan Vaar De, Zindagi Ki Dagmagati, Meri Naiya Taar De ॥

Kahiyo Darshan Dinhe Ho Bhilaniyo Ke Ram

Kahiyo Darshan Dinhe Ho, Bhilniyon Ke Ram ।

Phoolon Mein Saj Rahe Hai

Phoolon Mein Saj Rahe Hain, Shri Vrindavan Bihari, Aur Sath Saj Rahi Hai, Vrishbhanu Ki Dulari ॥