Ram Bhakt Le Chala Re Ram Ki Nishani (राम भक्त लें चला रे, राम की निशानी - भजन)


Ram Bhakt Le Chala Re,
Ram Ki Nishani ॥
Chaupai – Prabhu Kar Kripa Pavanri Deenhi,
Saadar Bharat Sheesh Dhari Linhi ॥

Ram Bhakt Le Chala Re,
Ram Ki Nishani,
Sheesh Par Khadaun,
Akhiyon Mein Pani,
Ram Bhakt Len Chala Re,
Ram Ki Nishani ॥

Sheesh Khadau Le Chala Aise,
Ram Siya Ji Sang Ho Jaise,
Ab Inki Chhaav Mein,
Rahegi Rajdhani,
Ram Bhakt Len Chala Re,
Ram Ki Nishani ॥

Pal Chhin Laage Sadiyon Jaise,
Chaudah Baras Katenge Kaise,
Jaane Samay Kya Khel Rachega,
Kaun Marega Kaun Bachega,
Kab Re Milan Ke Phool Khilenge,
Nadiyan Ke Do Pul Milenge,
Ji Karta Hai Yahin Bas Jaye,
Hilmil Chaudah Varash Bitayen,
Ram Bin Kathin Hai,
Ik Ghadi Bitaani,
Ram Bhakt Len Chala Re,
Ram Ki Nishani ॥

Tan Man Bachan,
Umang Anuraaga,
Dheer Dhurandhar,
Dheeraj Tyaaga,
Bhaavna Mein Bah Chale,
Dheer Veer Gyaani,
Ram Bhakt Len Chala Re,
Ram Ki Nishani ॥

Ram Bhakt Le Chala Ren,
Ram Ki Nishani,
Sheesh Par Khadaun,
Akhiyon Mein Paani,
Ram Bhakt Len Chala Re,
Ram Ki Nishani ॥
राम भक्त लें चला रे, राम की निशानी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम भक्त ले चला रें, राम की निशानी, शीश पर खड़ाऊँ, अखियों में पानी, राम भक्त लें चला रे, राम की निशानी ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanRam Bhajan BhajanMaryada Purushottam Shri Ram Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Maa Sherawaliye Tera Sher Aa Gaya

Maa Sherawaliye, Tera Sher Aa Gaya, Apne Khoon Se Nahlane, Tera Beta Aa Gaya

Jara Phool Bicha Do Aangan Mein Meri Maiya Aane Wali Hai

Jara Phool Bicha Do Aangan Mein, Meri Maiya Aane Wali Hai, Meri Maiya Aane Wali Hai, Meri Maiya Aane Wali Hai, Jara Phool Bicha Do Aangan Mein, Meri Maiya Aane Wali Hai ॥

Aate Hain Har Saal Navrate Mata Ke

Aaye Navaratre Maata Ke, Aaye Navaratre Maata Ke, Aate Hai Har Saal Navarate Maata Ke,
Aaye Navaratre Maata Ke, Jay Ho Navaratre Maata Ke, Main Puju Har Baar Navaratre Maata Ke ॥

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo