Ram Naam Hi Satya Hai (राम नाम ही सत्य है - भजन)


Ram Naam Hi Satya Hai Keval,
Ram Ka Gungan Karo,
Bhool Ke Is Jhoothe Jag Ko Ik,
Pal to Ram Ka Dhyan Dharo,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥Jitna Chamka Na Hai Chamka,
Tan Mitti Hi Hona Hai,
Kuch Chandan Ki Lakdi Aakhir,
Bas Tera Hi Bichhona Hai,
Haad Maans Ki Kaya Hai Ye,
Is Par Na Abhimaan Karo,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥

Mrigtrishna Ki Tarah Pagle,
Kiski Khoj Mein Bhatak Raha,
Kshan Bhangur Jeevan Hai Tera,
Kisme Man Ye Atak Raha,
Rah Jayega Dhara Yaheen Par,
Kaam Krodh Na Maan Karo,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥

Raam Naam Hi Sath Chalega,
Jab Tu Marghat Jayega,
Is Duniya Ka Har Ek Pyara,
Door Khada Rah Jayega,
Keval Itna Satya Hai ‘Sharma’,
Satya Se Na Anjaan Bano,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥

Ram Naam Hi Satya Hai Keval,
Ram Ka Gungan Karo,
Bhool Ke Is Jhoothe Jag Ko Ik,
Pal to Ram Ka Dhyan Dharo,
Ram Naam Heen Satya Hain Keval,
Ram Ka Gungan Karo ॥
राम नाम ही सत्य है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
राम नाम ही सत्य है केवल, राम का गुणगान करो, भूल के इस झूठे जग को इक, पल तो राम का ध्यान धरो, राम नाम हीं सत्य हैं केवल, राम का गुणगान करो ॥
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Hai Nam Re Sabse Bada Tera Nam

Kaal Ke Panje Se Mata Bachao, Jai Maan Asht Bhawani, Kaal Ke Panje Se Mata Bachao, Jai Maan Asht Bhawani...

Jaipur Se Layi Main Chunri

Jaipur Se Lai Main to, Chunri Rangvai Ke, Gota Kinari Apne...

Bheja Hai Bulava Tune Shera Waliye

Bheja Hai Bulava, Tune Shera Valie, O Maiya Tere Darbar | Mein Han Tere Deedar, Ki Main Aunga
Kabhi Na Phir Jaunga

Aisa Pyar Baha De Maiya

Ya Devi Aarva-Bhuteshu, Daya-Roopen Sansthita। Namastasye Namastasye Namastasye Namo Namah॥

Chausath Jogani Re Bhawani, Dewaliye Ramajay

Chausath Joganee Re Bhavaanee, Devaliye Ramajaay, Ghoomar Ghaalani Re Bhavaanee, Devaliye Ramajaay II