Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe (राम सीता और लखन वन जा रहे - भजन)


Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe,
Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe,
Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe ॥
Murkh Kaikee Ne Kiya Hai Ye Sitam, ...x2
Duhkh Dil Me Jo Kee Sab Jan Pa Rahe, ...x2
॥ Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...॥

Rah Sakenge Pran Tan Me Kya Mere, ...x2
Dhyan Me Na Ye Nateeje La Rahe, ...x2
॥ Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...॥

Kya Vichara Tha Mene Kya Ho Raha, ...x2
Phool Ashao Ke Khil Murajha Rahe, ...x2
॥ Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...॥

Ga Rahe the Jo Khushi Ke Geet Kal, ...x2
Aaj Ve Duhkh Ke Virah Yun Ga Rahe, ...x2
॥ Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...॥

Bhagy Me Kya Ye Vidhata Likh Diya, ...x2
Pahunch Ke Manjil Pe Thokar Kha Rahe, ...x2
॥ Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...॥

Rok Le Koi Unhen Samajhaye Kar, ...x2
Gyan Prabhu Dil Me Yahi Hai Mana Rahe, ...x2
॥ Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...॥

Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe,
Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe,
Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe ॥
राम सीता और लखन वन जा रहे - भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्री राम भजन वीडियो: राम सीता और लखन वन जा रहे, हाय अयोध्या में अँधेरे छा रहे...
Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr