Sab Kuchh Nahi Hai Paisa (सब कुछ नहीं है पैसा - भजन)


Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa
Makasad Ai Jindagi Ka Kyon Rakhaliya Hai Paisa
Paise Se Sikandar Ne Kya Kya Kharid Laya
Aakhri Ghadi Mein Paisa Na Kaam Aaye
Ao Saans Bhi Mil Jaye Hota Nahin Hai Aisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa

Paisa Se Kimti Tu Bistar Kharid Laaya
Laaya Tu Thaath Tu Ghar Mein Par Nind Kyon Gavaaya
Hai Nind Kimti Par Samjha Nahin Tu Aisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa

Ek Haar Ki Kami Thi Baraat Ghar Pe Aayi
Beti Na Bani Dulhan Baraat Laut Aayi
Paise Ki Hai Sagai Aaya Zamana Aisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa

Paisa Jo Paas Aaya Abhiman Leke Aaya
Usko Bhi Bhool Baitha Jisne Tujhe Banaya
Kuch Pa Liya to Kahta Koi Na Mere Jaisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa

Sab Jaante Ho Ek Din Sab Chhod Ke Hai Jaana
Tan Bhi Na Sath Jaye Chhutega Ye Khajana
Phir Kisliye Phadi Tu Karta Hai Paisa-paisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa
Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa

Hai Vo Bhi Jaruri Par Sab Kuch Nahin Hai Paisa
Makasad Ai Zindagi Ka Kyon Rakhaliya Hai Paisa
सब कुछ नहीं है पैसा - भजन - हिन्दी में पढ़ें
है वो भी जरूरी पर सब कुछ नहीं है पैसा, मकसद ऐ जिंदगी का क्यों रखलिया है पैसा, पैसे से सिकंदर ने क्या क्या खरीद लाया..
Bhajan Arya Samaj BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanJain BhajanJainism BhajanDhiraj Kant Bhajan

Other Popular Sab Kuchh Nahi Hai Paisa Video

Chintu Sewak

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Prabhu Ram Ka Sumiran Kar

Prabhu Ram Ka Sumiran Kar, Har Duhkh Mit Jayega, Yahi Ram Naam Tujhko, Bhav Paar Lagayega ॥

Veeron Ke Shiromani, Hanuman Jab Chale

Veeron Ke Bhi Shiromani Balvaan Jab Chale Hanuman Jab Chale

Tumhari Jai Ho Veer Hanuman Bhajan

Tumhari Jai Ho Veer Hanuman, O Ramdoot Matwale Ho Bade Dil Wale, Jagat Mein Unchi Tumhari Shaan

Maa Anjani Ke Lal Kalyug Kar Diyo Nihaal

Maa Anjani Ke Laal, Kalayug Kar Diyo Nihaal, O Pavanaputr Hanuman, Tum Shreeram Ke Sevak Ho, Shreeram Ke Sevak Ho, Shiv Shankar Ke Avataar, Mere Balaji Sarakaar, O Pavanaputr Hanuman, Tum Shreeram Ke Sevak Ho ॥