Sare Tirath Dham Apke Charno Me (सारे तीर्थ धाम आपके चरणो में - भजन)


Sare Tirath Dham Apke Charno Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।
Hriday Mein Maa Gauri Lakshmi,
Kanth Sharda Mata Hai ।
Jo Bhi Mukh Se Vachan Kahen,
Vo Vachan Siddh Ho Jata Hai ।
Hain Guru Brahma, Hain Guru Vishnu,
Hain Shankar Bhagwan Aapke Charano Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।

Janam Ke Data Maat Pita Hain,
Aap Karam Ke Data Hain ।
Aap Milate Hain Ishwar Se,
Aap Hi Bhagya Vidhata Hain ।
Dukhiya Man Ko Rogi Tan Ko,
Milta Hai Aaram Aapke Charno Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।

Nirbal Ko Balwan Bana Do,
Murkh Ko Gunvan Prabhu ।
Devkamal Aur Vansi Ko Bhi,
Gyan Ka Do Vardan Guru ।
Hai Maha Dani Hai Maha Gyani,
Rahoon Main Subaho-shaam Aapke Charno Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।

Karta Kare Na Kar Sake,
Par Guru Kiye Sab Hoye ।
Saat Dweep Nau Khand Me,
Mere Guru Se Bada Na Koye ॥

Sab Dharti Kaagaz Karoon,
Lekhni Sab Vanray ।
Samudr Ko Syahi,
Par Guru Gun Likhyo Na Jaye ॥

Sare Tirath Dham Apke Charno Mein ।
Hai Gurudev Pranam Aapke Charno Mein ।
सारे तीर्थ धाम आपके चरणो में - भजन - हिन्दी में पढ़ें
सारे तीर्थ धाम आपके चरणो में। हे गुरुदेव प्रणाम आपके चरणो में।
Bhajan Guru BhajanGurudev BhajanPoonam Didi BhajanGuru Purnima BhajanVyasa Purnima BhajanSant Ravidas BhajanRavidas Jayanti Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Ram Bhaja So Jeeta Jag Me

Ram Bhaja So Jeeta Jag Mein, Ram Bhaja So Jeeta Re । Hrday Shuddh Nahi Kinhon Moorakh

Bhajan: Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar

Kumar Maine Dekhe, Sundar Sakhi Do Kumar Hathon Mein Phoolon Ka Dauna Bhi Sohe Sundar Gale Mein Sohe Haar

Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe

Shri Ram Bhajan Video: Ram Sita Aur Lakhan Van Ja Rahe, Haye Ayodhya Me Andhere Chha Rahe...

Kanhaiya Le Chal Parli Paar

Kanhaiya Le Chal Parli Paar, Saawariya Le Chal Parli Paar, Jaha Birajo Meri Radha Rani, Albeli Sarkar ॥

Ram Charan Chit Lai Re Bhajo Radhe Govinda

Ram Charan Chit Lai Re, Bhajo Radhe Govinda, Bhaktan Ke Sukhdayi Re, Bhajo Radhe Govinda, Jab Maara Tab Tab Taara