Shiv Puja Mai Mann Leen Rahe Mera (शिव पूजा में मन लीन रहे मेरा- भजन)


Shiv Pooja Mein Man Leen Rahe,
Mera Mastak Ho Aur Dwar Tera ।
Mit Jaye Janmon Ki Trishna,
Mile Bhole Shankar Pyar Tera ।
Tujh Mein Khokar Jeena Hai Mujhe,
Main Boond Hoon Tu Ek Sagar Hai । ..X2
Tujh Bin Jeevan Ka Arth Hai Kya,
Main Tara Hoon Tu Ambar Hai ।
Tune Mujh Ko Sweekar Kiya,
Kya Kam Hai Yah Upkar Tera ।
॥ Shiv Pooja Mein Man Leen Rahe… ॥

Yun Mujhko Tera Pyar Mila,
Bejan Ko Jaise Jaan Mili । ..X2
Jis Din Se Tujhko Jana Hai,
Mujhko Apni Pahachan Mili ।
De Di Tune Charnon Mein Jagah,
Aabhari Hoon Sau Baar Tera ।
॥ Shiv Pooja Mein Man Leen Rahe… ॥

Shiv Pooja Mein Man Leen Rahe,
Mera Mastak Ho Aur Dwar Tera,
Mit Jaye Janmon Ki Trishna,
Mile Bhole Shankar Pyar Tera ।
शिव पूजा में मन लीन रहे मेरा- भजन - हिन्दी में पढ़ें
शिव पूजा में मन लीन रहे मेरा मस्तक हो और द्वार तेरा, मिट जाए जन्मों की तृष्णा मिले भोले शंकर प्यार तेरा।
Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Gauri Ke Lal Suno

Gauri Ke Lal Suno, Ki Kabse Tujhe Yaad Kare, Keertan Mein Aa Jao, Hay Keertan Mein Aa Jao, Ye Tumse Phariyad Kare, Gauri Ke Lal Suno, Ki Kabse Tujhe Yaad Kare ॥

Jai Ganesh Gananath Dayanidhi

Jai Ganesh Gananath Dayanidhi, Sakal Vighan Kar Door Hamare, Pratham Dhare Jo Dhyan Tumharo..

Gauri Ganesh Manau Aaj Sudh Lije Hamari

Gauri Ganesh Manaon, Aaj Sudh Leeje Hamaari । Surahin Gaiya Ko Gobar Managaun, Dig Dhar Agana Leepaon..

Lori Sunaye Gaura Maiya

Lori Sunaye Gaura Maiya, Jhula jhule Gajanand, Rimjhim Rimjhim Barse Badariya, Rimjhim Rimjhim Barse Badariya, Jhula Jhule Gajanand, Lori Sunaye Gaura Maiya, Jhula Jhule Gajanand ॥

Ganesh Bhajan

Famous Shri Ganesh Bhajans sung in Shri Ganesh Temple, Vinayaka Temple, Ganeshotsav, Ganesh Chaturthi, auspicious time, auspicious work and planetary entry..