Shri Radhe Govinda Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai (श्री राधे गोविंदा, मन भज ले हरी का प्यारा नाम है - भजन)


Shri Radhe Govinda, Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai ।
Gopala Hari Ka Pyaranaam Hai, Nand Lala Hari Ka Pyaranaam Hai ॥
Mor Mukut Sar Gal Ban Mala, Kesar Tilak Lagaye,
Vrindavan Mein Kunj Galin Mein Sab Ko Nach Nachaye ।
Shri Radhe Govinda, Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai ॥

Giridhar Nagar Kahti Meera, Sur Ko Shayamal Bhaaya,
Tukaram Aur Namdev Ne Viththal Viththal Gaaya ।
Shri Radhe Govinda, Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai ॥

Narsi Ne Khadtal Baja Ke Sanvariya Ko Rijhaya,
Shabri Ne Apne Hathon Se Prabhu Ko Ber Khilaya ।
Shri Radhe Govinda, Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai ॥

Radha Shakti Bina Na Koi Shyamal Darshan Paye,
Aaradhan Kar Radhe Radhe Kahana Bhage Aaye ।
Shri Radhe Govinda, Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai ॥

Simran Ka Ras Jisko Aaya, Vo Hi Jane Man Mein,
Nirakar Sakar Hotare Bhagton Ke Aangan Mein ।
Shri Radhe Govinda, Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai ॥

Shyam Salona Kunjbihari Natvar Leeladhari,
Antarvasi Hariavinashi Laage Sharan Tihari ।
Shri Radhe Govinda, Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai ॥

Shri Radhe Govinda, Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai ।
Gopala Hari Ka Pyaranaam Hai, Nand Lala Hari Ka Pyara Naam Hai ॥

आरती कुंजबिहारी की | आओ भोग लगाओ प्यारे मोहन | श्री बांके बिहारी तेरी आरती गाऊं | आरती श्री बाल कृष्ण जी की | ॐ जय जगदीश हरे | मधुराष्टकम्: धरं मधुरं वदनं मधुरं | कृष्ण भजन | अच्चुतम केशवं कृष्ण दामोदरं | श्री कृष्णा गोविन्द हरे मुरारी
श्री राधे गोविंदा, मन भज ले हरी का प्यारा नाम है - भजन - हिन्दी में पढ़ें
श्री राधे गोविंदा, मन भज ले हरी का प्यारा नाम है। गोपाला हरी का प्यारा नाम है...
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Kunj Bihari BhajanLaddu Gopal BhajanKhatushayam Ji BhajanHariom Sharan Bhajan

Other Popular Shri Radhe Govinda Man Bhaj Le Hari Ka Pyara Naam Hai Video

By Shri Hari Om Sharan

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Mhane Hichkiyan Aave Ji

Araj Lagave Ji, Sanwariya Thasu Araj Lagave Ji, Mhari Aankhya Su Neer Bahe, Mhane Hichkya Aave Ji, Yaad Satave Ji, Sanwariya Thari Yaad Satave Ji, Mhari Aankhya Su Neer Bahe, Mhane Hichkya Aave Ji ॥

Bhagwan Sab Kamal Hai Pyare

Bhagwan Sab Kamal Hain Pyare, Teri Meri Dhal Hai Pyare, Bhagwan Sab Kamal Hain Pyare, Teri Meri Dhal Hai Pyare

Jai Jai Jai Ganraj Ji

Yaha Daas Kare Dhyan Tumhara, Har Pal Tumne Diya Sahara, Main Hun Tera Daas, Main Hun Tera Daas Ji,
Teri Jay Hove Maharaj Ji, Jai Jai Jai ॥

Ganpati Tum Sab Gan Ke Raja

Ganpati Tum Sab Gan Ke Raja, Ganpati Tum Sab Gan Ke Raja, Puran Karo Hamare Kaaj, Puran Karo Hamare Kaaj, Ganpati Tum Sab Gan Ke Raja, Puran Karo Hamare Kaaj ॥

Omkar Swarupa Sadguru Samartha

Omkar Swarupa Sadguru Samartha, Anathachya Natha Tuj Namo