Shyam Sambhalo Mujhe (श्याम सम्भालों मुझे: भजन)


Doha:
Jholi Mein Ab Sanware,
Daal Daya Ki Bhikh,
Tere Siva Koi Nahin,
Ab Mere Nazadik ।
Aaya Hoon Main Darbar Tumhare,
Sare Jag Se Haar,
Shyam Sambhalo Mujhe,
Gir Jaoon Na Sarkar,
Pakad Lo Hath Mera Ek Baar,
Shyam Sambhalon Mujhe ॥

Tum Bhi Kahin Baba,
Mujhe Chhod Na Dena,
Mujhe Aas Hai Tumse,
Ise Tod Na Dena,
Mujhe Teri Hai Darkar Sharan Mein,
Le Lo Lakhdatar,
Shyam Sambhalon Mujhe ॥

Aaya Hoon Main Darbar Tumhare,
Sare Jag Se Haar,
Shyam Sambhalo Mujhe,
Shyam Sambhalon Mujhe ॥

Duniya Madad Karke,
Meri Hansi Udati Hai,
Main Uthna Chahati Hoon,
Ye Mujhe Girati Hai,
Jhootha Sara Sansar,
Ek Tu Hi Hai Sachcha Yaar,
Shyam Sambhalon Mujhe ॥

Aaya Hoon Main Darbar Tumhare,
Sare Jag Se Haar,
Shyam Sambhalo Mujhe,
Shyam Sambhalon Mujhe ॥

Tum Hath Pakad Loge,
To Main Tar Jauga,
Tune Bhi Chhoda to,
Kiske Dar Jaunga,
Mar Jaunga Sarkar Na Jaoon,
Madhav Dooje Dwar,
Shyam Sambhalon Mujhe ॥
Bhaktibharat Lyrics

Aaya Hoon Main Darbar Tumhare,
Sare Jag Se Haar,
Shyam Sambhalo Mujhe,
Gir Jaoon Na Sarkar,
Pakad Lo Hath Mera Ek Baar,
Shyam Sambhalon Mujhe ॥
- Komal Tiwari
श्याम सम्भालों मुझे: भजन - हिन्दी में पढ़ें
आया हूँ मैं दरबार तुम्हारे, सारे जग से हार, श्याम सम्भालो मुझे..
Bhajan Shri Krishna BhajanBrij BhajanBaal Krishna BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shayam BhajanKhatu BhajanKhatu Shayam BhajanFalgun Mela BhajanKomal Tiwari Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Chitrakoot Ke Ghat Ghat Par Shabri Dekhe Baat

Chitrakoot Ke Ghat-Ghat Par, Shabari Dekhe Baat, Ram Mere Aa Jao, Chitrakut Ke Ghat-Ghat Par...

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya

Krishna Kanhaiya Bansi Bajaiya, Nandlala Ghanshyam Re, Govardhan Girdhari Kanha, Tere Kitne Naam Re, Bolo Shyam Radhe Shyam...

Ek Nazar Bas Ek Nazar Hum Pe Bhi Mohan Vaar De

Ek Nazar Bas Ek Nazar, Hum Pe Mohan Vaar De, Zindagi Ki Dagmagati, Meri Naiya Taar De ॥

Kahiyo Darshan Dinhe Ho Bhilaniyo Ke Ram

Kahiyo Darshan Dinhe Ho, Bhilniyon Ke Ram ।

Phoolon Mein Saj Rahe Hai

Phoolon Mein Saj Rahe Hain, Shri Vrindavan Bihari, Aur Sath Saj Rahi Hai, Vrishbhanu Ki Dulari ॥