Sunle O Meri Maiya Mujhe Tera Hi Sahara (सुनले ओ मेरी मैया, मुझे तेरा ही सहारा: भजन)


Sunle O Meri Maiya,
Mujhe Tera Hi Sahara,
Tera Hi Sahara Mujhe,
Tera Hi Sahara ॥
Door Door Tak O Meri Maiya,
Soojhe Nahin Kinara,
Ek Baar Aa Jao Maiya,
Mainne Tumhe Pukara,
Tum Bin Kaun Humara,
Maan Tum Bin Kaun Humara,
Tera Hi Sahara Mujhe,
Tera Hi Sahara ॥

Naiya Humari O Meri Maiya,
Ab Hai Tere Bharose,
Khete Khete Haar Gaya Hoon,
Darta Hoon Lahron Se,
Ghir Gaye Kale Badal,
Aur Chhaya Hai Andhiyara,
Tera Hi Sahara Mujhe,
Tera Hi Sahara ॥

Andhiyari Raton Mein Maiya,
Bijli Kadh Kadh Kadhke,
Doob Na Jaye Naiya Meri,
Dil Mera Ye Dhadke,
‘Shyam’ Ko Bhi Taro,
Laakhon Ko Tumne Taara,
Tera Hi Sahara Mujhe,
Tera Hi Sahara ॥

Sunle O Meri Maiya,
Mujhe Tera Hi Sahara,
Tera Hi Sahara Mujhe,
Tera Hi Sahara ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
सुनले ओ मेरी मैया, मुझे तेरा ही सहारा: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सुनले ओ मेरी मैया, मुझे तेरा ही सहारा, तेरा ही सहारा मुझे, तेरा ही सहारा ॥
Bhajan Mata Rani BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe BhajanMata Ki Bhajan Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Koi Lakh Kare Chaturayi

Koi Lakh Kare Chaturayi, Karam Ka Lekh Mite Na Re Bhai, Jara Samjho Iski Sachchai Re |

Bhajan: Amrit Bela Geya Aalasi So Raha Ban Aabhaga

Bela Amrit Gaya, Aalsi so Raha, Ban Abhaga, Sathi Sare Jage, Tu Na Jaga...

Saj Dhaj Kar Jis Din Maut Ki Sahjadi Aayegi

Sajdhaj Kar Jis Din, Maut Ki Shahajadi Aayegi, Na Sona Kaam Aayega

Kabhi Dhoop Kabhi Chhaon

Sukh Duhkh Donon Rahte Jis Mein | Jeevan Hai Vo Gaon | Kabhi Dhoop Kabhi Chhanv

Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi

Kabhi Pyaase Ko Paani Pilaaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Phaayada । Kabhi Girate Hue Ko Uthaya Nahi,