Tadapata Hai Tera Ye Daas Sambhalo (तड़पता है तेरा ये दास संभालो - भजन)


Chale Aao,
Tadapta Hai Tera Ye Daas Sambhalo,
Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo ॥
Ye Jeevan Bhi Hai Thoda,
Ye Saanse Bhi Hai Thodi,
Hai Rasta Seedha Dar Ka,
Kyon Meri Raahe Modi,
Mujhe Teri Dagar Pe Shyaam Chala Lo,
Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo,
Tadapta Hain Tera Ye Daas Sambhalo ॥

Mere Dil Mein Tumhi Ho,
Meri Dhadkan Tumhi Ho,
Na Bhoolo Shyam Mujhko,
Mera Jeevan Tumhi Ho,
Ye Baahe Thaam Lo Baba Bachalo,
Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo,
Tadapta Hain Tera Ye Daas Sambhalo ॥

Main Pagal Tha Deewana,
Tujhe Samjha Na Jaana,
Jo Bhoole Mainne Ki Hai,
Vo Tujhko Hai Bhoolana,
Mujhe Charanon Ki Seva Mein Laga Lo,
Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo,
Tadapta Hain Tera Ye Daas Sambhalo ॥

Tu Daani Hai Dayalu,
Tu Kar Kirpa Kripalu,
Mujhe Dar Pe Bulale,
Neet Darshan Main Pa Loon,
Jo Parda Hai Use Baba Uthalo,
Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo,
Tadapta Hain Tera Ye Daas Sambhalo ॥

Chale Aao,
Tadapta Hai Tera Ye Daas Sambhalo,
Milan Ki Aas Na Tute Sambhalo ॥
तड़पता है तेरा ये दास संभालो - भजन - हिन्दी में पढ़ें
चले आओ, तड़पता है तेरा ये दास संभालो, मिलन की आस ना टूटे संभालो ॥
Bhajan Shri Krishna BhajanBhrij BhajanBal Krishna BhajanLaddu Gopal BhajanBhagwat BhajanJanmashtami BhajanShri Shyam BhajanIskcon BhajanPhagun Mela BhajanRadhashtami Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Jai Jaikaar Karo Mata Ki

Jai Jaikaar Mata Ki, Aao Sharan Bhawani Ki, Ek Baar Phir Prem Se Bolo

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani

Bada Pyara Saja Hai Tera Dwar Bhawani. Bhakton Ki Lagi Hai Katar Bhawani.

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr