Tere Darshan Ko Ganraja Tere Darbar Aaye Hai (तेरे दरशन को गणराजा, तेरे दरबार आए है: भजन)


Tere Darshan Ko Ganraja ॥
Doha – Naseeb Walon Ko Hey Ganraja,
Tera Deedar Hota Hai,
Jispe Hota Hai Najrekaram,
Uska Beda Paar Hota Hai ॥

Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Suna Hai Mainne Ganraya,
Tumhe Laddoo Hi Bhate Hai,
Suna Hai Mainne Ganraya,
Tumhe Laddoo Hi Bhate Hai,
Tumhare Bhog Mein Bhagwan,
Haan Laddoo Sath Laye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Tumhe Doorva Sada Chadhti,
Log Aisa Sada Karte,
Tumhe Doorva Sada Chadhti,
Log Aisa Sada Karte,
Bel Paati Ke Sang Sang Mein,
Haan Doorva Haar Laye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Tumhe Vastron Mein Peetambar,
Pahante Humne Dekha Hai,
Tumhe Vastron Mein Peetambar,
Pahante Humne Dekha Hai,
Ki Darji Se Bhi Silwakar,
Tumhare Vastr Lyae Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Suna Hai Taaje Phoolon Ke,
Tumhe Gajre Suhate Hai,
Suna Hai Taaje Phoolon Ke,
Tumhe Gajre Suhate Hai,
Baagon Se ‘suman Yogi’,
Sugandhit Phul Laye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥

Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darbar Aaye Hai,
Tere Darshan Ko Ganraja,
Tere Darbar Aaye Hai ॥
तेरे दरशन को गणराजा, तेरे दरबार आए है: भजन - हिन्दी में पढ़ें
सुना है ताजे फूलों के, तुम्हे गजरे सुहाते है, सुना है ताजे फूलों के, तुम्हे गजरे सुहाते है, बागों से ‘सुमन योगी’, सुगन्धित फुल लाए है, तेरे दरशन को गणराजा, तेरे दरबार आए है ॥
Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Main Toh Aarti Utaru Re Santoshi Mata Ki

Popular and famous bhajan used on the auspicious occasion of Navdurga, Durga Puja, Navratri, Navratr

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Mata Ke Bhajan

Famous bhajans for Navaratri, Mata Ki Chowki, Goddess Jagran, Ashtami and Friday.

Shiv Bhajan

Famous bhajan of Shiv, Shankar, Bhole, Bholenath, Mahadev and Mahakal..