Tere Paawan Maa Navratron Main Jyot Teri Jagaye Huye Hai (तेरे पावन माँ नवरात्रों में, ज्योत तेरी जगाए हुए हैं: भजन)


Tere Pavan Maan Navratron Mein,
Jyot Teri Jagaye Hue Hain,
Jabse Laagi Maan Tumhari,
Saari Duniya Bhulaye Huye Hain,
Tere Pavan Maan Navratron Mein,
Jyot Teri Jagaye Hue Hain ॥
Baje Mandiron Mein Shankar Ka Damru,
Gunje Din Raat Narad Ki Veena,
Bhavan Dhoye Maan Indr Tumhara,
Jhoola Rukta Pavan Ka Kabhi Na,
Dev Nagri Se Darshan Ko Tere,
Bramha Vishnu Bhi Aaye Hue Hain,
Tere Pavan Maan Navratron Mein,
Jyot Teri Jagaye Hue Hain ॥

Bhairon Hanuman Shraddha Se Har Pal,
Tere Bhavnon Mein Dete Hain Pahara,
Teri Mamta Ki Samta Koi Na,
Tera Dil Hai Samundar Se Gahara,
Saare Gandharv Karne Ko Arpan,
Phool Chun Chun Ke Laye Huye Hain,
Tere Pavan Maan Navratron Mein,
Jyot Teri Jagaye Hue Hain ॥

Teri Bhakti Mein Pal Jo Bhi Gujare,
Vo Hi Phal to Saphal Honge Maiya,
Dhool Charnon Ki Humko Banalo,
Paar Hogi Hamari Bhi Naiya,
Jaisi Auron Pe Ki Tune Karuna,
Aas Hum Bhi Lagaye Huye Hain,
Tere Pavan Maan Navratron Mein,
Jyot Teri Jagaye Hue Hain ॥

Tere Pavan Maan Navratron Mein,
Jyot Teri Jagaye Hue Hain,
Jabse Laagi Maan Tumhari,
Saari Duniya Bhulaye Huye Hain,
Tere Pavan Maan Navratron Mein,
Jyot Teri Jagaye Hue Hain ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
तेरे पावन माँ नवरात्रों में, ज्योत तेरी जगाए हुए हैं: भजन - हिन्दी में पढ़ें
तेरे पावन माँ नवरात्रों में, ज्योत तेरी जगाए हुए हैं, जबसे लागी माँ तुम्हारी, सारी दुनिया भुलाये हुए हैं, तेरे पावन मां नवरात्रों में, ज्योत तेरी जगाए हुए हैं ॥
Bhajan Mata Ka Bhawan BhajanMata Ki Bhajan BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanGupt Navratri BhajanMaa Durga BhajanMata BhajanAshtami BhajanMahalaya BhajanAmbe BhajanMaa Jagdambe Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Mere Bhole Ki Fauj

Bam Bam Bam Bhole Bam Bam Bam, Is Sawan Karegi Mauj, Mere Bhole Ki Fauj

Sita Ram Sita Ram Sita Ram Kahiye

Sita Raam Sita Raam, Sitaraam Kahiye, Jaahi Vidhi Raakhe Raam, Taahi Vidhi Rahiye ।

Ram Tum Bade Dayalu Ho

Ram Tum Bade Dayalu Ho, Nath Tum Bade Dayalu Ho, Hari Ji Tum Bade Dayalu Ho ॥

Ram Ras Barsyo Re, Aaj Mahre Angan Main

Ram Ras Barsyo Ri, Aaj Mhare Angan Mein । Jag Gaye Sab Soye Sapne, Sabhi Paraye Ho Gaye Apne

Jal Jaaye Jihwa Papini, Ram Ke Bina

Ram Bina Nar Aise Jaise, Ashv Lagaam Bina । Jal Jaaye Jihwa Papini