Tora Man Darpan Kahlaye (​तोरा मन दर्पण कहलाए - भजन)


Tora Man Darpan Kahlaye,
Bhale, Bure, Saare Karmon Ko,
Dekhe Aur Dikhaye ॥
Man Hi Devta,
Man Hi Ishwar,
Man Se Bada Na Koi,
Man Ujiyara,
Jab Jab Phaile,
Jag Ujiyara Hoe,
Is Ujale Darpan Par Prani,
Dhool Na Zamne Paye .
​Tora Man Darpan Kahalaye,
Bhale, Bure, Saare Karmon Ko,
Dekhe Aur Dikhaye ॥

Sukh Ki Kaliyaan,
Duhkh Ke Kante,
Man Sab Ka Aadhar,
Man Se Koi Baat Chhupe Na,
Man Ke Nain Hajaar,
Jag Se Chahe Bhaag Le Koi,
Man Se Bhaag Na Paye.
​Tora Man Darpan Kahalaye,
Bhale, Bure, Saare Karmon Ko,
Dekhe Aur Dikhaye ॥

Tan Ki Daulat Dhalti Chhaya,
Man Ka Dhan Anamol,
Tan Ke Kaaran Man Ke,
Dhan Ko Mat Maati Mein Rol,
Man Ki Kadar Bhoolanewala,
Heera Janam Ganvaye.
​Tora Man Darpan Kahalaye,
Bhale, Bure, Saare Karmon Ko,
Dekhe Aur Dikhaye ॥

​Tora Man Darpan Kahalaye,
Bhale, Bure, Saare Karmon Ko,
Dekhe Aur Dikhaye ॥
​तोरा मन दर्पण कहलाए - भजन - हिन्दी में पढ़ें
​तोरा मन दर्पण कहलाए, भले, बुरे, सारे कर्मों को, देखे और दिखाए ...
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanCollage BhajanGurukul BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanSarojini Ghosh Bhajan

Other Popular Tora Man Darpan Kahlaye Video

Singer: Kanhaiya Ji | Tabla: Ramdhyan Gupta

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev

Om Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev, Shankar Shiv Bhole Umapati Mahadev...

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Shankar Mera Pyara.. Maa Ri Maa Mujhe Murat La De

Shankar Mera Pyara । Maa Ri Maa Mujhe Murat La De, Shiv Shankar Ki Murat La De..

Shankar Shiv Shambhu Sadhu Santan Sukhkari

Shankar Shiv Shambhu, Sadhu Santan Sukhkari , Nish Din Simaran Karte, Naam Punyakari ॥

Baba Teri Jata Mein Bahati Hai Gang Dhara

Shankar Teri Jata Mein, Baba Teri Jata Mein, Bahati Hai Gang Dhara, Bhole Teri Jata Mein,
Kali Ghata Ke Andar, Jimi Damini Ujala, Shankar Teri Jata Se, Bahati Hai Gang Dhara ॥