Tumhein Har Ghadi Maa Pyar Karegi (तुम्हे हर घडी माँ प्यार करेगी - भजन)


Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi,
Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho,
Jhulayegi Palakon Ke Jhoole Mein Tujhko,
Bas Ek Baar Maan Tum Bula Karke Dekho,
Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi,
Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho ॥
Zamane Se Tumko Jo Nahi Mila Hai,
Milega Yahi Maan Ko Batla Ke Dekho,
Nahi Baat Koi Bhi Talegi Tumhari,
Ye Dawa Hai Vinti Soona Karke Dekho,
Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi,
Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho ॥

Jidhar Dekhta Hoon Charcha Yahi Hai,
Koi Maan Ke Jaisa Dooja Nahi Hai,
Kahoge Vo Tum Bhi Jo Main Kah Raha Hoon,
Bhavan Maan Bhavani Ke Jaakar to Dekho,
Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi,
Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho ॥

Bhula Karke Baithe the Hansna Sada Jo,
Vo Phoolo Ke Jaise Muska Rahe Hai,
Mahakne Lagega Tumhara Bhi Jeevan,
Ai “Lakhkha” Tu Sar Ko Jhuka Karke Dekho,
Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi,
Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho ॥

Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi,
Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho,
Jhulayegi Palakon Ke Jhoole Mein Tujhko,
Bas Ek Baar Maan Tum Bula Karke Dekho,
Tumhe Har Ghadi Maan Pyaar Karegi,
Jara Maan Ke Dar Pe Tum Aakar Ke Dekho ॥

दुर्गा चालीसा | आरती: जय अम्बे गौरी, मैया जय श्यामा गौरी | आरती: अम्बे तू है जगदम्बे काली | महिषासुरमर्दिनि स्तोत्रम् | माता के भजन
तुम्हे हर घडी माँ प्यार करेगी - भजन - हिन्दी में पढ़ें
तुम्हे हर घडी माँ प्यार करेगी, जरा माँ के दर पे तुम आकर के देखो, झुलाएगी पलकों के झूले में तुझको, बस एक बार माँ तुम बुला करके देखो, तुम्हे हर घडी माँ प्यार करेगी, जरा माँ के दर पे तुम आकर के देखो ॥
Bhajan Maa Durga BhajanMata BhajanNavratri BhajanMaa Sherawali BhajanDurga Puja BhajanJagran BhajanMata Ki Chauki BhajanShukravar BhajanFriday BhajanAshtami BhajanGupt Navratri BhajanJeen Bhawani BhajanJeen Mata BhajanRajasthani BhajanKuldevi Bhajan
If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bhajan: Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana

Cham Cham Nache Dekho Veer Hanumana, Kahate Log Ise Ram Ka Deewana...

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Bhajan: Hey Dukh Bhanjan Maruti Nandan

Hey Dukh Bhanjan, Maruti Nandan। Sun Lo Meri Pukar Pawansut Vinti Baarambaar॥ Asht Siddhi Naw Nidhi Ke Data...

Mera Sankat Katne Wala Hai

Mere Sankat Katne Wala Hai, Bajarangi Ki Kirapa Se, Mere Sankat Katne Wala Hai, Bajarangi Ki Kirapa Se,
Ab Chhapar Phatane Wala Hai ॥

Sanjivan Lene Bajrangi Pawan Veg Se Aaye

Sanjivan Lene Bajarangi, Pavan Veg Se Aaye, Parvat Haath Uthaye, Parvat Haath Uthaye, Dhundh Dhundh Kar Haar Gaye Jab, Buti Khoj Na Paye, Parvat Haath Uthaye ॥