Bhajan: Uth Jag Musafir Bhor Bhai (उठ जाग मुसाफिर भोर भई - भजन)


Uth Jaag Musafir Bhor Bhai,
Ab Rain Kahan Jo Sovat Hai ।
Jo Sovat Hai so Khovat Hai,
Jo Jagat Hai Soi Pavat Hai ॥
Uth Neend Se Akhiyan Khol Jara,
Aur Apne Prabhu Mein Dhyan Laga ।
Yah Preet Karan Ki Reet Nahin,
Prabhu Jagat Hai Tu Sovat Hai ॥

Uth Jaag Musafir Bhor Bhai,
Ab Rain Kahan Jo Sovat Hai ।
Jo Sovat Hai so Khovat Hai,
Jo Jagat Hai Soi Pavat Hai ॥

Jo Kal Karna so Aaj Kar Le,
Jo Aaj Kare so Ab Kar Le ।
Jab Chidiya Ne Chug Khet Liya,
Phir Pachhtaye Kya Hovat Hai ॥

Uth Jaag Musafir Bhor Bhai,
Ab Rain Kahan Jo Sovat Hai ।
Jo Sovat Hai so Khovat Hai,
Jo Jagat Hai Soi Pavat Hai ॥

Naadaan Bhugat Apni Karni,
Ai Papi Paap Mein Chain Kahan ।
Jab Paap Ki Gathdi Shish Dhari,
Ab Shish Pakad Kyun Rovat Hai ॥

Uth Jaag Musafir Bhor Bhai,
Ab Rain Kahan Jo Sovat Hai ।
Jo Sovat Hai so Khovat Hai,
Jo Jagat Hai Soi Pavat Hai ॥
उठ जाग मुसाफिर भोर भई - भजन - हिन्दी में पढ़ें
उठ जाग मुसाफिर भोर भई, अब रैन कहाँ जो सोवत है।..
Bhajan Arya Samaj BhajanVed BhajanVedic BhajanHawan BhajanYagya BhajanMotivational BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanSchool BhajanInspirational BhajanShanti Dham BhajanGayatri BhajanGayatri Paiwar BhajanAWGP Pragya BhajanNirgun Bhajan

Other Popular Bhajan: Uth Jag Musafir Bhor Bhai Video

By Pujya Prembhushanji Maharaj

By Shankar Mahadevan

Uth Jaag Musafir Bhor Bhai By Devi Chitralekhaji

If you love this bhajan please like, share or comment!


* Please share any of your suggestions or ideas with us.** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Diwane Shree Ram Ke

Bhagway Ke, Tilak Ke, Aur Bus Ek Naam Ke, Ham Hain Deewane - Deewane Shriram Ke, Jo Ram Ke Nahin, Na Hamare Kisi Kaam Ke, Ham Hain Deewane - Deewane Shriram Ke॥

Laddu Gopal Mera Chota Sa Hai Lalaa

Laddoo Gopal Mera, Laddoo Gopal, Chhota Sa Hai Lala Mera...

Naiya Majhdhar Meri Tuti Patwar Meri

Naiya Majhdhar Meri, Tuti Patwar Meri, Ban Ke Tu Manjhi, Aaja Shyam Mere ॥

Teri Maya Ka Na Paya Koi paar ki Leela Teri Tu Hi Jaane

Teri Maya Ka Na Paya Koi paar, ki Leela Teri Tu Hi Jaane, Tu Hi Jane Wo Shyam Tu Hi Jane, Sari Duniya Ke Srijan Haar, ki Leela Teri Tu Hi Jaane ॥

Krishna Bhajan

Famous Shri Krishna Bhajan for Janmashtami, Radhashtami, Holi, Bhagwat Katha, Gita Path, Kirtan, Bhajan Sandhya..