Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhajan Karo Mitra Mila Ashram Nartan Ka (भजन करो मित्र मिला आश्रम नरतन का - भजन)


Bhajan Karo Mitra Mila Ashram Nartan Ka
Bhajan Karo Mitr Mila,
Ashram Nartan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥
Bhajan Karo Mitr Mila,
Ashram Nartan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥
Panch Mahle Bangle Ka Tu Hai Niwasi
Panch Mahle Bangle Ka Tu Hai Niwasi
Panch Gyan Panch Karm Indriyan Hain Dasi ॥
Kaya Hai Kimati Magar Hai Binashi
Karle Ram Bandgi Hai Jindgi Jara Si ॥
Baar Baar Milta Nahin,
Avsar Bhajan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥

Bhajan Karo Mitr Mila,
Ashram Nartan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥

Ramroop Jagat Jaan Karle Aradhana
Ramroop Jagat Jaan Karle Aradhana
Prabhu Dikhen Sab Mein to Hove Apradh Na
Vasna Se Mukti Mile Aisi Kar Sadhna
Duhkh Rahe Door Yadi Sukh Ki Ho Sadhna ॥
Saar Hai Yahi Yaar Sadguru Vachan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥

Bhajan Karo Mitr Mila,
Ashram Nartan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥

Khud Ko Deh Mankar, Khud Ka Hosh Khoya
Karta Ban Tune Hi Karm Beej Boya
Sapne Ko Sach Samjha Moh Neend Soya
Sukh Mein Prasann Hua Duhkh Dekh Roya ॥
Yahi Ek Karan Hai Jeevan Maran Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥

Bhajan Karo Mitr Mila,
Ashram Nartan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥

Rajeshwar Guru Gyan Ganga Naha Le
Rajeshwar Guru Gyan Ganga Naha Le
Aatmbodh Pakar Ke Phal Jeevan Ka Pa Le ॥
Ramji Se Preet Kar Ram Geet Ga Le
Ram Naam Sumiran Kar Zindagi Bana Le ॥
Hoga Anugrah Prabhu Asaran Sharan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥

Bhajan Karo Mitr Mila,
Ashram Nartan Ka ।
Shwas Ki Sumirini Hai,
Man Ko Bana Manka ॥
- Swami Shri Rajeshwaranand Ji Maharaj

भजन करो मित्र मिला आश्रम नरतन का - भजन हिन्दी में पढ़ें

भजन करो मित्र मिला आश्रम नरतन का, श्वास की सुमिरिनी है मन को बना मनका ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Krishna BhajanRam Navami BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMorning BhajanDainik BhajanDaily BhajanArya Samaj BhajanPrarthana BhajanVandana BhajanJain BhajanJainism BhajanVidhi Sharma Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Tune Mujhe Bulaya Sherawaliye Bhajan

Sanchi Jyoto Vali Mata, Teri Jay Jay Kar । Tune Mujhe Bulaya Shera Waliye, Main Aya Main Aya Shera Waliye

Hai Nam Re Sabse Bada Tera Nam

Kaal Ke Panje Se Mata Bachao, Jai Maan Asht Bhawani, Kaal Ke Panje Se Mata Bachao, Jai Maan Asht Bhawani...

Aisa Pyar Baha De Maiya

Ya Devi Aarva-Bhuteshu, Daya-Roopen Sansthita। Namastasye Namastasye Namastasye Namo Namah॥

Ran mein aayi dekho Kali

Ran Mein Aayi Dekho Kali, Khoon Se Bharne Khappar Khali, Dushto Ko Tu Marne Wali, Jai Kali Kali ॥

Jo Dena Ho To Maiya Uphar Ye Dena

Jo Dena Ho to Maiya, Uphar Ye Dena, Teri Mamta Par Thoda, Adhikar De Dena, Jo Dena Hon Ton Maiya, Uphar Ye Dena ॥

Maiya Bulale Navrate Mein

Maiya Bulale Navrate Mein, Nachenge Hum Sab Jagrate Mein, Maan Ki Murat Bas Gai Aankho Mein, Nachenge Hum Sab Jagrate Mein ॥

Bhagton Ko Darshan De Gayi Re Ek Choti Si Kanya

Bhagton Ko Darshan De Gayi Re, Ek Choti Si Kanya, Choti Si Kanya, Ek Choti Si Kanya |

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP