Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Chalo Bhole Baba Ke Dware (चलो भोले बाबा के द्वारे: भजन)


Chalo Bhole Baba Ke Dware
Chalo Bhole Baba Ke Dware,
Sab Duhkh Katenge Tumhare,
Bhole Baba Bhole Baba,
Bhole Baba Bhole Baba,
Bhole Baba Bhole Baba,
Chalon Bhole Baba Ke Dware,
Sab Duhkh Katenge Tumhare ॥
Chadha Ek Shikaari Dekho,
Bilv Vriksh Par,
Karne Ko Vo Shikaar,
Shiv Chaudas Ki Pawan,
Wah Raat Thi,
Anjaane Mein Hua,
Prahar Pooja Sanskaar,
Hue Baba Prakat,
Bole Maango Vardaan,
Darshan Kar Shikari Ko,
Ho Aaya Vairagya Gyan,
Karbaddh Kar Vo Bola,
Hari Om Hari Om,
Hari Om Hari Om,
Karbaddh Kar Vo Bola,
Do Mujhe Bhakti Vardaan,
Bane Baba Uske Sahare,
Sab Duhkh Katenge Tumhare,
Chalon Bhole Baba Ke Dware,
Sab Duhkh Katenge Tumhare ॥

Paap Aachaar Ke Kaaran Kasht Sahe,
Kanya Swamini Ne,
Bhiksha Maangti Vo Pahunchi,
Gokarn Mein,
Mila Bilv Patra Use,
Bhiksha Ke Roop Mein,
Bilv Patra Anjaane Mein,
Phenka Shivling Pe,
Punya Shivratri Vrat Ka,
Aise Paaya Usne,
Mahima Se Shiv Ki,
Hari Om Hari Om,
Hari Om Hari Om,
Mahima Se Shiv Ki,
Moksh Paya Usne,
Bane Baba Uske Sahaare,
Sab Duhkh Katenge Tumhare,
Chalon Bhole Baba Ke Dware,
Sab Duhkh Katenge Tumhare ॥

Chalo Bhole Baba Ke Dware,
Sab Duhkh Katenge Tumhare,
Bhole Baba Bhole Baba,
Bhole Baba Bhole Baba,
Bhole Baba Bhole Baba,
Chalon Bhole Baba Ke Dware,
Sab Duhkh Katenge Tumhare ॥

चलो भोले बाबा के द्वारे: भजन हिन्दी में पढ़ें

चलो भोले बाबा के द्वारे, सब दुःख कटेंगे तुम्हारे, भोले बाबा भोले बाबा, भोले बाबा भोले बाबा, भोले बाबा भोले बाबा, चलों भोले बाबा के द्वारे, सब दुःख कटेंगे तुम्हारे ॥
Read Also

Bhajan Shiv BhajanBholenath BhajanMahadev BhajanShivaratri BhajanSavan BhajanMonday BhajanSomvar BhajanSolah Somvar BhajanJyotirling BhajanShiv Vivah BhajanAnuradha Paudwal Bhajan

Other Popular Chalo Bhole Baba Ke Dware Video

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Shiv Stuti: Ashutosh Shashank Shekhar

Ashutosh Shashank Shekhar, Chandra Mauli Chidambara, Koti Koti Pranam Shambhu

Om Mangalam Omkar Mangalam

Om Mangalam Omkar Mangalam, Om Mangalam Omkar Mangalam, Som Mangalam Saradhar Mangalam

Tere Darbar Mein Maiya Khushi Milti Hai

Teri Chhaya Mein, Tere Charanon Mein, Magan Ho Baithoon, Tere Bhakto Mein ॥ Tere Darbaar Mein Maiya Khushi Milti Hai,

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye

Lakho Ke Dukh Liye Har Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye,Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,
Sabko Diye Khusiyon Ke Var Datiye,Jholiyan Garibon Ki Bhi Bhar Datiye ॥

Mera Dil Atka Teri Murat Pe

Milne Ko, Milne Ko Tadpade Maiya Ko, Rahti Fir Maa Ko Sawar Nahi, Mera Dil Atka Teri Murat Pe,
Mujhko To Kisi Ki Khabar Nahi ॥

Mere Sang Sang Chalti

Sankat Mein Jhunjhan Wali Ki, Sakalae Dekhi Hai, Mere Sang Sang Chalti, Dadi Ki Parchae Dekhi Hai,
Mere Sang Sang Chalti, Dadi Ki Parchae Dekhi Hai ॥

Ma Dekh Tera Shringar Kare Dil Nachan Ka

Maan Dekh Tera Shringar, Kare Dil Naachan Ka, Naachan Ka Dil Naachan Ka, Chaahe Dekhoon Jitni Baar,
Kare Dil Naachan Ka, Maan Dekh Tera Shringar, Kare Dil Naachan Ka ॥

Sawan 2026 - Sawan 2026
Sawan 2026 - Sawan 2026
Bhakti Bharat APP