Shri Krishna Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan (देखों पावन परम श्री राम के चरण - भजन)


Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan,
Shri Ram Ke Charan, Prabhu Ram Ke Charan,
Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥
Shri Ram Ke Charanon Ki Hai,
Mahima Ajab Nirali,
Jisne Jaani Inki Maya,
Jisne Jaani Inki Maya,
Kismat Hi Jaga Li,
Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Ek Shila Charanon Ko Choome,
Phir Nari Ban Jaye,
Devi Ahilya Banke Vo to,
Devi Ahilya Banke Vo to,
Bhav Sagar Tar Jaye,
Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Kevat Ki Naiya Mein Bhakto,
Ram Prabhu Pag Dhaye,
Charanaamrt Peekar Ke Kevat,
Charanaamrt Peekar Ke Kevat,
Bhakti Mein Ram Jaye,
Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Hanuman Ne Laya Bhakto,
Ram Charan Mein Dera,
Ram Prabhu Hriday Se Lagaye,
Ram Prabhu Hriday Se Lagaye,
Bhai Hai Ye Mera,
Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

Dekho Pawan Param Shri Ram Ke Charan,
Shri Ram Ke Charan, Prabhu Ram Ke Charan,
Dekhon Pawan Param Shri Ram Ke Charan ॥

देखों पावन परम श्री राम के चरण - भजन हिन्दी में पढ़ें

श्री राम के चरणों की है, महिमा अजब निराली, जिसने जानी इनकी माया, जिसने जानी इनकी माया, किस्मत ही जगा ली, देखों पावन परम श्री राम के चरण ॥
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSita Navmi BhajanHanuman Janmotsav BhajanBhagwan Ram Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Norta ki Raat Maiya Garba Rambwa Aano Hai

Naurata Ki Raat Maiya, Garabe Ramava Aano Hai, Thaane Vadon Nibhano Hai, Norta ki Raat ॥

Barisho Ki Cham Cham Mein

Barisho Ki Cham Cham Mein, Tere Dar Pe Aae Hai । Mehrawali Mehra Kar De

Unche Unche Parvat Pe Sharda Maa Ka Dera Hai

Unche Unche Parvat Pe, Sharda Maa Ka Dera Hai, Matlab Ki duniya Main, Sachha Prem Tera Hai, Unche Unche Parvat Pe, Maiya Ka Baseara Hai, Matlab Ki duniya Main, Sachha Prem Tera Hai ॥

Maa Muraada Kar Poori

Maan Muraad Kar Poori Aas Rahe Na Adhuri, Tere Dar Se Jaunga Jholi Bhar Ke, Sherowali Mata Dekh Le, Aaya Unche Mein Pahad Tere Chadh Ke, Sherowali Mata Dekh Le ॥

Jai Jag Janani Maa Bhawani Maiya Sharda Ho Maa

Jai Jag Janani Maa, Bhawani Maiya Sharda Ho Maa, Ambe Jagadambe Jagadambike, Jag Ki Palanhar,
Bhawani Maiya Sharada Ho Maa, Jai Jag Janani Maa, Bhawani Maiyya Sharda Ho Maa ॥

Aayo Sawaniyo Dadiji Mhari Hindo Hinde Aaj

Aayo Sawaniyo, Dadiji Mhari, Hindo Hinde Aaj, Aayo Sawaniyo, Bela Gulab Champa Mahi, Khub Sajyo Sinagar, Aayo Sawaniyo, Dadiji Mhari, Hindo Hinde Aaj, Aayo Sawaniyo ॥

Tori Bagiya Mein Aam Ki Daal Koyal Bole Kuhu Kuhu

Tori Bagiya Mein Aam Ki Daal, Koyal Bole Kuhu Kuhu ॥

Durga Chalisa - Durga Chalisa
Ram Bhajan - Ram Bhajan
Bhakti Bharat APP