Haanuman Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Sita Ram Daras Ras Barse Jese Savan Ki Jhadi (सीता राम दरस रस बरसे - भजन)


Sita Ram Daras Ras Barse Jese Savan Ki Jhadi
Chahun Dishi Barsen Ram Ras,
Chhaayon Haras Apaar,
Raja Rani Ki Kare,
Sab Mil Jai Jaikar ।
Kaushal Nandan Raja Ram,
Janaki Vallabh Raja Ram,
Jai Siyaram Jai Jai Siyaram ।

Aise Ram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi,
Sita Ram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi,
Saavan Ki Jhadi,
Pyase Pranon Pe Padi,
Aise Ram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi ॥

Ram-lakhan Anmol Nagine,
Avadh Angoothi Mein Jad Deene,
Ram Lakhan Anmol Nagine,
Avadh Angoothi Mein Jad Deene,
Sita Aise Sohe, Jaise Moti Ki Ladi,
Sita Ram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi ॥

Ram-siya Ko Rup Nihari,
Nache Gaave Sab Nar Naari,
Ramsiya Ko Rup Nihari,
Nache Gaave Sab Nar Naari,
Chal Ri Darshan Kar Aavai,
Ka Sochat Khadi,
Sita Ram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi ॥

Kaushal Nandan Raja Ram,
Janaki Vallabh Raja Ram,
Jai Siyaram Jai Jai Siyaram .
Siyaram siyaram, siyaram siyaram

Rom-rom Ko Nain Bana Lo,
Ramsiya Ke Darshan Paalo,
Rom Rom Ko Nain Bana Lo,
Ram-siya Ke Darshan Paalo,
Barson Peechhe Aayi Hai Ye Milan Ki Ghadi,
Sita Ram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi ॥

Kaushal Nandan Raja Ram,
Janaki Vallabh Raja Ram,
Jai Siyaram Jai Jai Siyaram .
Siyaram siyaram, siyaram siyaram

Aise Ram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi,
Sitaram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi,
Saavan Ki Jhadi,
Pyaase Praanon Pe Padi,
Aise Ram Darash Ras Barsen,
Jaise Saavan Ki Jhadi ॥

Kaushal Nandan Raja Ram,
Janaki Vallabh Raja Ram,
Jai Siyaram Jai Jai Siyaram ।

सीता राम दरस रस बरसे - भजन हिन्दी में पढ़ें

ऐसे राम दरश रस बरसें, जैसे सावन की झड़ी, प्यासे प्राणों पे पड़ी...
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navmi BhajanSundarkand BhajanRamayan Path BhajanVijayadashami BhajanMata Sita BhajanRam Sita Vivah BhajanShri Vishnu BhajanRavindra Jain Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai, To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi, Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke, Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥

Shri Ram Se Keh Dena Ek Baat Akele Me

Shri Ram Se Kah Dena, Ek Baat Akele Mein, Rota Hai Bharat Bhaiya, Din Raat Akele Mein, Shrin Ram Se Kah Dena, Ek Baat Akele Mein ॥

Man Me To Aave Bhajan Banau

Man Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Balasa, Bhajan Bana Ke Balasa Tujhko Rijhaun

Shree Ram Pyare Anjani Dulare

Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai, Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai, Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Dar Balaji Ke Arji Laga Le

Dar Balaji Ke Araji Lagale, Aaj Shradha Se Tu Baba Ko Manale, Ki Dukh Tera Bhag Jayega, Ki Dukh Tera Bhag Jayega, Saccha Hai Darbar Mere Balaji Ka, Milta Hai Pyar Yahan Balaji Ka ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Sawan 2026 - Sawan 2026
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP