janmashtami 2026
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon (ओ गंगा तुम, गंगा बहती हो क्यूँ - भजन)


Bhajan: Ganga Behti Ho Kiyon
[Bistirno Parore, Ashankhy Jonore
Hahakar Khuniu Nishobde Nirobe
Budha Luit Tumi, Budha Luit Bua Kiyo? ] - Assamese Mein
Vistar Hai Apar, Praja Donon Par
Kare Hahakar Nihshabd Sada
O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Vistar Hai Apar, Praja Donon Par
Kare Hahakar Nihshabd Sada
O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

Naitikta Nasht Hui, Manavta Bhrasht Hui
Nirlajj Bhav Se Bahati Ho Kyun ?
Itihas Ki Pukar, Kare Hunkar
O Ganga Ki Dhar, Nirbal Jan Ko
Sabal-sangrami, Samgrogami
Banati Nahin Ho Kyun ?
॥ Vistar Hai Apar, Praja Donon Par.. ॥

Anpadh Jan, Aksharhin
Angin Jan, Khadyavihin
Netravihin Dikshamaun Ho Kyun ?

Itihas Ki Pukar, Kare Hunkar
O Ganga Ki Dhar, Nirbal Jan Ko
Sabal-sangrami, Samgrogami
Banati Nahin Ho Kyun ?
॥ Vistar Hai Apar, Praja Donon Par.. ॥

Vyakti Rahe Vyakti Kendrit
Sakal Samaj Vyaktitv Rahit
Nishpran Samaj Ko Chhodati Na Kyun ?

Itihas Ki Pukar, Kare Hunkar
O Ganga Ki Dhar, Nirbal Jan Ko
Sabal-sangrami, Samgrogami
Banati Nahin Ho Kyun ?
॥ Vistar Hai Apar, Praja Donon Par.. ॥

Rudsvini Kyun Na Rahin ?
Tum Nishchay Chitan Nahin
Pranon Mein Prerana Deti Na Kyun ?
Unamad Avami Kurukshetragrami
Gange Janani, Nav Bharat Mein
Bhishmrupi Sutsamarajayi Janati Nahin Ho Kyun ?
॥ Vistar Hai Apar, Praja Donon Par.. ॥

Vistar Hai Apar, Praja Donon Par
Kare Hahakar, Nihshabd Sada
O Ganga Tum, Ganga Bahati Ho Kyun?

O Ganga Tum, O Ganga Tum
Ganga Tum, O Ganga Tum
Ganga… Bahati Ho Kyun ?

-Bhupen Hazarika

ओ गंगा तुम, गंगा बहती हो क्यूँ - भजन हिन्दी में पढ़ें

करे हाहाकार निःशब्द सदा, ओ गंगा तुम, गंगा बहती हो क्यूँ?
Read Also

Bhajan Maa Ganga BhajanShri Ganga BhajanGanga Dussehra BhajanGanga Snaan BhajanGanga Saptami BhajanBhupen Hazarika BhajanBharat Ratna Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai

Yadi Nath Ka Naam Dayanidhi Hai, To Daya Bhi Karenge Kabhi Na Kabhi, Dukhhaari Hari, Dukhiya Jan Ke, Dukh Klesh Haregen Kabhi Na Kabhi ॥

Shri Ram Se Keh Dena Ek Baat Akele Me

Shri Ram Se Kah Dena, Ek Baat Akele Mein, Rota Hai Bharat Bhaiya, Din Raat Akele Mein, Shrin Ram Se Kah Dena, Ek Baat Akele Mein ॥

Man Me To Aave Bhajan Banau

Man Mein to Aave Bhajan Banaun, Bhajan Bana Ke Balasa, Bhajan Bana Ke Balasa Tujhko Rijhaun

Shree Ram Pyare Anjani Dulare

Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Shree Ram Ke Sab Kaaj Saware, Sabke Sahare Jay Mahaveer, Shree Ram Pyare Anjani Dulare, Sabke Sahare Jay Mahaveer ॥

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya

Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai, Samane Aai Jab Badha,
Anjanisut Ne Tala Hai, Sharan Hanumat Ki Jo Aaya, Use Pal Mein Sambhala Hai ॥

Dar Balaji Ke Arji Laga Le

Dar Balaji Ke Araji Lagale, Aaj Shradha Se Tu Baba Ko Manale, Ki Dukh Tera Bhag Jayega, Ki Dukh Tera Bhag Jayega, Saccha Hai Darbar Mere Balaji Ka, Milta Hai Pyar Yahan Balaji Ka ॥

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Janmashtami - Janmashtami
Shri Krishna Bhajan - Shri Krishna Bhajan
Bhakti Bharat APP