गणेशोत्सव - Ganeshotsav
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Hari Nam Nahi Too Jeena Kya (हरि नाम नहीं तो जीना क्या - भजन)


Hari Nam Nahi Too Jeena Kya
Hari Nam Nahin to Jeena Kya
Amrt Hai Hari Nam Jagat Mein,
Ise Chhod Vishay Vish Peena Kya ॥
Kal Sada Apne Ras Dole,
Na Jane Kab Sar Chadh Bole ।
Har Ka Nam Japo Niswasar,
Agle Samay Par Samay Hi Na ॥
॥ Hari Nam Nahin… ॥

Bhushan Se Sab Ang Sajawe,
Rasna Par Hari Nam Na Lawe ।
Deh Padi Rah Jaave Yahi Par,
Phir Kundal Aur Nageena Kya ॥
॥ Hari Nam Nahin… ॥

Teerath Hai Hari Nam Tumhara,
Phir Kyun Phirata Mara Mara ।
Ant Samay Hari Nam Na Aave,
Phir Kashi Aur Madeena Kya ॥
॥ Hari Nam Nahin… ॥

Hari Nam Nahin to Jeena Kya
Amrt Hai Hari Nam Jagat Mein,
Ise Chhod Vishay Vish Peena Kya ॥

हरि नाम नहीं तो जीना क्या - भजन हिन्दी में पढ़ें

हरि नाम नहीं तो जीना क्या, अमृत है हरि नाम जगत में...
Read Also

Bhajan Shri Ram BhajanShri Raghuvar BhajanRam Navami BhajanVijay Dashami BhajanSunderkand BhajanRamcharitmanas Katha BhajanAkhand Ramayana BhajanShri Hari BhajanShri Vishnu BhajanNarayan Bhajan

Other Popular Hari Nam Nahi Too Jeena Kya Video

By Prem Bhushan Ji Maharaj

By Maithili Thakur, Rishav Thakur, Ayachi Thakur

By Sarojini Ghosh

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Deva Ho Deva Ganpati Deva

Ganpati Bappa Morya, Mangal Murthy Morya, Ganpati Bappa Morya, Mangal Murti Morya ॥

Tum Bhi Bolo Ganpati Aur Hum Bhi Bole Ganpati

Maaniye Pahale Gajanan, Gajvadan Hey Ganapati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Jisne Bhi Dil Se Pukara, Dukhharan Hey Ganpati, Tum Bhi Bolo Ganpati, Aur Hum Bhi Bole Ganpati ॥

Apna Hai Seth Ganpati Lala

Apna Hai Seth Ganpati Lala, Shiv Shankar Sut Dev Ganapati, Devo Mein Balakare, Sabase Pahale Tera Sumiran, Karati Duniya Sari, Devo Mein Dev Hai Niraala, Apna Hai Seth Ganpati Lala ॥

Gauri Ke Ladle

Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan, Karta Hai Sabse Pahale, Pooja Teri Jahan, Gauri Ke Ladle, Mahima Teri Mahan ॥

Padharo Mhare Angana Ji

Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Kabse Rasta Rahe Hai Nihar, Padharo Mhare Angna Ji, Aao Aao Ganpati Maharaj, Padharo Mhare Angna Ji ॥

Sukh Dene Wale Dukh Harne Wale

Sukh Dene Wale Dukh Harne Wale, Ase Ganray Ko Sabka Pranam, Sarbapratham Puja Jiski Hoti,
Gan Ganpati Unka Naam ॥

Gaiye Ganpati Subaho Shaam

Gaiye Ganpati Subaho Shaam, Mangalmurti Mangalkari, Pawan kari Tero Naam, Gaiye Ganpati Subaho Shaam ॥

Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Ganesh Aarti Bhajan - Ganesh Aarti Bhajan
Bhakti Bharat APP