Hay Hay Rasik Rasiya, Nahin Lage Tere Bin Jiya — Haye Haye
O Tune Pagal Banaya, Aisa Chakkar Chalaya
Jane Kaisa Sitam Kar Diya, Hay Hay Hay Hay
Hay Hay Rasik…………॥
Balihari Teri Chhatao Pe, Teri Tirchi Nigahon Pe — O
Kurban Teri Adaon Pe, Aur Teri Wafaon Pe — O
Tere Dil Mein Samaya, Mere Dil Mein Samaya
Tune Aisa Sitam Kar Diya, Hay Hay Hay Hay
Hay Hay Rasik…………॥
Bhaktibharat Lyrics
Tirchi Najariya Ke Maare Ham, Tere Bina Besahare Hum — O
Dware Pe Kab Se Pukare Ham, Kab Se Khade Tere Dware Ham
Tere Darshan Ko Aaya, Tune Chakkar Chalaya
Mera Dil to Chura Hi Liya, Hay Hay Hay Hay
Hay Hay Rasik…………॥
Suratiya Dil Mein Samai Hai, Dekha Jab Se Kanhai Hai
Aankhon Ki Nindiya Udai Hai, Sudh Tan Ki Bisrai Hai
Rang Tera Chadhaya, Rag Rag Mein Samaya
Ye Tan Man Tujhe De Diya, Hay Hay Hay Hay
Hay Hay Rasik…………॥
Yeh Rasiya Ras Ka Rasila Hai, Ras Ki Rasili Iski Leela Hai
Radha Ke Rang Ka Rangeela Hai, Hath Ka Bada Hi Hathila Hai
Ras Pagal Ko Bhaya, Tere Darshan Ko Aaya
Tune Itna Vilamb Kyon Kiya, Hay Hay Hay Hay
Hay Hay Rasik…………॥