Jai Ganesh Jai Gajvadan,
Kripa Sindhu Bhagwan ।
Mushak Vahan Deejiye,
Gyan Buddhi Vardan ॥ 1 ॥
Shiv Nandan Gauri Tanay,
Pratham Pujya Ganraj ।
Sakal Amangal Ko Haro,
Pooran Ho Har Kaaj ॥ 2 ॥
Hath Jod Vinti Karoon,
Devon Ke Sartaj ।
Bhav Baadha Sab Door Ho,
Riddhi Siddhi Ganraaj ॥ 3 ॥
Mangalkari Dev Tum,
Mangal Karo Ganesh ।
Jag Vandan Tumhare Karen,
Kaato Sabka Klesh ॥ 4 ॥
Girija Putra Ganesh Ki,
Bolo Jai-jaikar ।
Ganpati Mere Dev Tum,
Devon Ke Sarkar ॥ 5 ॥
Moosak Wahan Sajate,
Ek Dant Bhagwan ।
Naman Karoon Gandev Ji,
Aao Buddhi Nidhaan ॥ 6 ॥
Pratham Pujya Vandan Karoon,
Mahadev Ke Lal ।
Riddhi Siddhi Data Tumheen,
Tum Ho Deendayal ॥ 7 ॥
Devon Ke Sartaaj Ho,
Gyan Vaan Gunvaan ।
Ganpati Bappa Moriya,
Leela Badi Mahan ॥ 8 ॥
Teen Lok Chaudah Bhuvan,
Teri Jai-jaikar ।
Hey Ganpati Gandevata,
Har Lo Dukh Apaar ॥ 9 ॥
Sur Nar Muni Sab Hain Bhaje,
Tumko Hey Shiv Laal ।
Pramudit Mata Parvati,
Jai Ho Deendayal ॥ 10 ॥
Kailashi Shiv Sut Suno,
Karo Bhakt Kalyan ।
Sab Jan Dware Aa Khada,
Aaj Bachalo Pran ॥ 11 ॥
Mahadev Ke Laal Tum,
Sabhi Jhukate Sheesh ।
Ham Nirdhan Laachaar Hain,
Do Humko Aashish ॥ 12 ॥
Gannayak Hey Shambhu Sut,
Vighna Haran Ganraaj ।
Sakal Klesh Santaap Ko,
Twarit Mita Do Aaj ॥ 13 ॥
Vakratund Shuchi Shund Hai,
Tilak Tripundi Bhaal ।
Chhabi Lakhi Sur Nar Aatma,
Shiv Gauri Ke Laal ॥ 14 ॥
Ur Manimala Shobhate,
Ratn Mukut Sir Saaj ।
Modak Haath Kuthar Hai,
Sundar Mukh Ganraaj ॥ 15 ॥
Peetambar Tan Par Saje,
Charan Paduka Dhaar ।
Dhani Shiv Lalna Sukh Bhawan,
Mere Taranhar ॥ 16 ॥
Rddhi Siddhi Pati Shubh Sadan,
Mahima Amit Apaar ।
Janm Vichitra Charitra Hai,
Moosak Vahan Dwaar ॥ 17 ॥
Ek Radan Gaj Ke Badan,
Kaya Roop Vishal ।
Pal Mein Harte Duhkh Ko,
Hey Prabhu Deendayal ॥ 18 ॥
Mata Gaura Ke Tanay,
Gyan Buddhi Bhandar ।
Gahe Sharan Prabhu Raakhiye,
Hum Hain Deen Apaar ॥ 19 ॥
Shiva Shambhu Ke Laal Tum,
Karuna Bade Nidhaan ।
Vipda Mein Sansar Hai,
Haro Kasht Bhagwan ॥ 20 ॥
- Bodhan Ram Nishadraj `Vinayak`