Shri Ram Bhajan
Make Bhakti Bharat Your Preferred Source on Google

Jai Jai Ganraj Manaun (जय जय गणराज मनाऊँ: भजन)


Jai Jai Ganraj Manaun
Jai Jai Ganraj Manaun,
Charanon Mein Shish Navaun,
Jab Tak Saanse Hain Tan Mein,
tera Hi Dhyan Lagaun,
Gajanand Ji Hamare Ghar Aao,
Bulate Hai Chale Aao ॥
Bade Bhag Hamare Baba,
Jo Shubh Din Ye Aaya Hai,
Bethe Hai Tumhare Dar Par,
Prabhu Teri Hi maya Hai,
Humne Prabhu Aas Lagai,
Chandan Chauki Bichhavae,
Rukhe Sukhe Phal Mewa,
Niij Maan Ki Jyot Jalae,
Gajanand Ji Hamare Ghar Aao,
Bulate Hai Chale Aao ॥

Devo Ke Maharaj,
Tum Jaldi Se Aa Jana,
Riddhi Siddhi Sang Baba,
Shiv Gaura Ko Le Aana,
Bramha Vishnu Ko Lana,
Sanga Ramsiya Ko Lana,
Radhe Krishna Gokul Se,
Hanuman Ji Ko Bhi Bhulvana,
Gajanand Ji Hamare Ghar Aao,
Bulate Hai Chale Aao ॥

Subh Avsar Angan Mein,
Sab Vignh Haro Hai Deva,
Aakar Mangal Kardo,
Hum Karte Teri Sewa,
Jo Bhi Aas Hai Maan Mein,
Aakar Puri Ab Kardo,
Khoya Hai ‘Mukesh’ Bhajan Mein,
Usaki Pida Sab har do,
Gajanand Ji Hamare Ghar Aao,
Bulate Hai Chale Aao ॥

Jai Jai Ganraj Manaun,
Charanon Mein Shish Navaun,
Jab Tak Saanse Hain Tan Mein,
tera Hi Dhyan Lagaun,
Gajanand Ji Hamare Ghar Aao,
Bulate Hai Chale Aao ॥

जय जय गणराज मनाऊँ: भजन हिन्दी में पढ़ें

जय जय गणराज मनाऊँ, चरणों में शीश नवाऊं, जब तक सांसे हैं तन में, तेरा ही ध्यान लगाऊं, गजानन्द जी हमारे घर आओ, बुलाते है चले आओ ॥
Read Also

Bhajan Vighneswaray BhajanShri Ganesh BhajanShri Vinayak BhajanGanpati BhajanGanpati Bappa BhajanGaneshotsav BhajanGajanan BhajanGanesh Chaturthi BhajanChaturthi Bhajan

If you love this bhajan please like, share or comment!

Whatsapp ChannelFollow Bhakti Bharat Whatsapp Channel »
Bookmark / Save this bhajan for future Add To Favorites
* Please share any of your suggestions or ideas with us.

** Please write your any type of feedback or suggestion(s) on our contact us page. Whatever you think, (+) or (-) doesn't metter!

Latest Bhajan ›

Bajrang Baan

Jai Hanumanta Santa Hitakaari । Suna Liijay Prabhu Araja hamari ॥ Jana kay kaaja vilambana keejay ।..

Veer Hanumana Ati Balwana

Veer Hanumana Ati Balwana, Ram Naam Rasiyo Re, Prabhu Man Basiyo Re

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra

Ek Din Bole Prabhu Ramchandra, Main Mann Ki Baat Batata Hoon, Tum Lete Raho Hanuman Yahan, Main Tere Charan Dabaata Hoon ॥

Murakh Bande Kya Hai Re Jag Me Tera

O Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Ye to Sab Jhootha Sapna Hai, Kya Tera Kya Mera,
Murakh Bande, Kya Hai Re Jag Me Tera ॥

Kevat Ram Ka Bhakt Hai

Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega, Jal Sarayu Ka Gahara Bhi Hai,
Paar Usako Lagaana Padega, Kevat Ram Ka Bhakt Hai, Donon Charanon Ko Dhona Padega ॥

Ram Lakshman Ke Sang Janki

Ram Lakshman Ke Sang Janki, Jai Bolo Hanuman Ki...

Awadh Bihari Ho Hum Aaye Sharan Tihari

Avadh Bihari Ho, Ham Aaye Sharan Tihaari, Giravar Dhari Ho, Ham Aaye Sharan Tihaari ॥

Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Hanuman Chalisa - Hanuman Chalisa
Bhakti Bharat APP